Washington: Johri moahida par America ki Iran se kasheedgi aur khaleej faris mein tail bardaar jahazoo par hamla ke tanazur mein mashriq wasti mein mazeed 1000 fojiyon ko tainaat karne ka elaan kardiya.
Tafseelaat ke mutabiq Washington ki janib se mazkoorah iqdaam hifazati maqasid ke liye liya ja raha hai. Is hawala se naib wazeer Difaa Patrick Shanahan ney tasdeeq ki ke mashriq wasti mein mazeed aik hazaar fouji tainaat kiye jayen ge. Unhon apne aik bayan mein kaha ke hamein intahi qabil bharosa intelligence maloomat masool huwi ke tail bardaar jahazoo par Irani Forces ney hamla kiya tha. Irani Forces ka rad-e-amal pur-tashaddud hai aur khittay mein Amrici ohdedaron aur mafaad ko khatrah la-haq hai.
Is se qabal 24 May ko America ke Saddar Donald Trump ney mashriq wasti mein izafi 1500 fojion ki taenati ka elaan kya tha. Japan ke dora se qabal media se baat karte huwe Donald Trump ney kaha tha ke hum mashriq wasti mein tahaffuz chahtay hain. America ki janib se Iran ke sath johri moahida khatam karne ke baad dono Mumalik ke mabain kasheedgi barh gayi hai aur Washington ney khaleej faris mein behri jungi bera aur 52 win bambaar tainaat kardiye hain. ilawa azeen 13 June ko khaleej Amman mein tail tail bardar do jahazoon pur hamla kiya gaya tha taham jahazoo ke amlah ko bahfazt nikaal liya gaya.
Khayaal rahay ke America ke qaumi salamti ke musheer jaan ney khaleeji kasheedgi mein izafah karne walay Oil Tankers hamlay mein Iran par yakeeni tor par mulawis honay ka ilzaam lagaya. Guzishta mah fjirh ke sahili shehar ki bandargaah par 4 jahazoo mein takhreeb kaari ki koshish par mutahidda Arab Emirates ki janib se muzamati bayan samnay aaya tha, taham is se qabal woh sahili ilaqay mein kisi bhi qisam ke hamlon ki tardeed kar rahay they. Baad azan Irani wizarat kharja ke tarjuman Abbas Mosvi ney kaha ke America ki janib se is terha ke mazhaka khaiz daaway koi nai baat nahi. Mutahidda Arab Emiates ney rawan hafta huwe hamlay ke baad aalmi baradri se tail ki sarbarahi ko mehfooz bananay ka mutalba kiya tha.