Sunday, May 19, 2024
HomeLatest NewsMasajid par hamley ke dehshatgard ko Europi maali taawun ka inkishaaf

Masajid par hamley ke dehshatgard ko Europi maali taawun ka inkishaaf

Christchurch: New Zealand ke shehar Christchurch ki 2 Masajid par hamla mein mulawis dehshatgard Britain torrent ke  baray mein nayee inkeshafaat samney aeye hain. Tafseelaat ke mutabiq Masajid ke hamla mein mulawis Torrent nasal parast dehshatgard hai. Tafteesh ke douran raaz ke pardey utthay to maloom huwa ke Australia mein tehqiqaat ke douran kayi inkishafaat samnay aeye hain.

Australia ki Chancellor Sapten carz ney kaha ke Britain torrent ka Europe ki intahi dayen bazoki tehreek ‘ Genrations Identity se maali talluq tha. Australia mein tanzeem ke sarbarah Martin Sellner se 2018 mein Britain Torrent naam ke shakhs ne 1500 Euro ka atiyah wusool kiya tha. Australia Chancellor ney yeh bhi kaha ke un ki hukoomat intahi dayen baazu ki is tanzeem ko tahleel karne par ghor kar rahi hai. Yad rahe New Zealand ki 2 masajidon mein mazkoorah dehshatgard ki firing se 50 Musalman shaheed huwe they.