Sunday, April 20, 2025
HomeTrending NewsMasajid mein khutbaat aur asbaq ki ijazat

Masajid mein khutbaat aur asbaq ki ijazat

Riyadh: Saudi Arab ney mumlikat bhar mein Masajid mein namazoun ke baad khutbaat aur asbaq ki mashroot ijazat day di hai aur ye shart ye ayad hai ke tamam shurka ko coronavirus ki rokk thaam ke liye ayad kardah pabandioun aur hifazati ahteyati tadabeer ki paasdari karna hogi.

Saudi Arab ki wizarat baraye Islami umoor aur dawat-o-irshaad ney apni Website par jari kardah ek bayan mein kaha hai ke asbaq namazoun ke fori baad pesh kiye jaaney chahiye aur un ka waqt 10 minute se ziyada nahi hona chahiye jabkay khutbaat ka waqt 30 minute se ziyada nahi hona chahiye.

Wizarat ne is baat par zoor diya hai ke tamam Masajid ko coronavirus ki rokk thaam ke liye peshgi ahteyati tadabeer ki pasdari karni chahiye. Wizarat ne wazahat ki hai ke Qoran Majeed ke hifz ki Classes tahkm sani online jari rahen gi.

Wazeh rahay ke Saudi Arab ne March ke wast mein Coronavirus ki waba ki rokk thaam ke liye Masajid mein panj guna namazoun ki adai moqoof kar di thi. Taham mumlikat ne May ke aakhir mein coronavirus ke talluq se ayad kardah pabandioun mein narmi shuru kar di thi. Ab tak bohat se pabandiyan khatam ki jachuki hain aur Masajid mein ibadat guzaroun ko panj waqtan namazoun ki ijazat day di gayi hai.

Saudi Arab ney coronavirus se nimatnay ke liye apni hikmat e amli ke dosray marhalay ke tehat 31 May ko namaz jummay ke ijitmaat munaqqid karne ki bhi ijazat day di thi lekin Mecca Mukarmah shehar mein Masajid ko is faislay se mustasni qarar diya gaya tha. Lekin Mecca Mukarmah mein 21 June se Masajid ko dobarah khol diya gaya hai.

Saudi wizarat baraye Islami umoor aur dawat-o-irshaad ney mumlikat bhar mein Masajid mein jaany walay tamam namazioun ko hidayat ki thi ke wo coronavirus ko phelnay se roknay ke liye hidayat ki paasdari karen. Apne hathoun ko dhowen aur Sanitizers istemaal zaeef-ul-omar aur daimi amraaz ka shikaar afraad apne gharoun hi mein namazain ada karen.

Qoran Majeed ki talawat ke liye apna mobile phone istemaal karen ya ghar se Qoran Majeed ka apna nuskha le kar ayen. Apna Apan mosallah ( Janimaz ) le kar ayen aur Namaz ada karne ke baad is ko sath le kar jayen.

Har namazi ek dosray se 2 meter ka faasla barqarar rakhay. 15 saal se kam omar bachoun ko sath le kar nah ayen. Chehray par mask pehan kar rakheye ya chehray ko dhaanp kar rakheye.

Masajid mein apne gharoun se wudu karkay ayen aur dosray namazioun se haath milaane se guraiz karen. Masajid mein dakhlay aur wahan se nikaltay waqt darwazoun ke andar aur baher jama honay se guraiz karen.