Friday, April 26, 2024
HomeTrending NewsMars ki tasaveer zameen par pahonch gayi, Emirates ki ek aur kamyabi

Mars ki tasaveer zameen par pahonch gayi, Emirates ki ek aur kamyabi

Dubai:-  United Arab Emirates  ki janib  se  Mars parwaan kardah mission Hope ne nizaam e shamsi ke is sayaray ki awaleen taswerain zameen par rawana karna shuru kar diya hai. Hope 5 din qabl Mars  ke madaar mein pohuncha tha. is khalayi mission ka arabi mein naam Al-Amal  hai, jis ka matlab umeed hai aur isi liye usay angrezi mein The Hope kaha ja raha hai. Al-amal  ki janib se zameen par mareekh ki pehli tasweer rawana karne ki khaleeji riyasat United Arab Emirates  ki qayadat ne tasdeeq kar di.

Also Read: UAE ke Mission Moon ki Landing ke 5 maqamat ki nishandahi

UAE, Arab duniya ka pahla mulk  hai jis ne khalayi tehqeeq ke shobay mein apna koi mission zameen ke nizaam e shamsi ke kisi dusray sayaray ki taraf bheja hai. Hope Nami khalayi gaari saat mah qabal zameen se khalaa ki taraf rawana hui thi aur 9 feb ko woh apni manzil Mars  ke madaar mein pahonch gayi thi. is Qalaae  mission ki taraf se zameen parwaan  kardah pehli tasweer UAE ke hukmaran Sheikh Mohammad ban Zaid Al-Nahyan ne apne twitter account par shaya ki .

Also read: Hazza al mansouri ki khala se Mecca Muazzama ki tasweer, maqboliat ki bulandiyon par

Mohammad bin Zaid ne apni tweet mein likha Al-Amal  ki janib se Mars  ki awleen tasweer ka zameen par bheja jana UAE ki tareekh ka ek  intehai ahem sang mil hai, jo yeh saboot bhi hai ke emaraat Qalahi  taskheer ke liye sargaram taraqqi Yafta aqwam mein shaamil ho gaya hai. ilawa azeen Dubai  ke hukmaran aur  UAE  ke Naib sader Sheikh Mohammad Bin Rashid ne twitter par apne ek  pahghaam mein kaha ke Arab duniya ki tareekh ke pehlay khalayi mission se li gayi Mars ki pehli tasweer, jo surkh sayaray ki satah se 25 hazaar kilometer  ki bulandi se li gayi hai.