Hyderabad: Urdu ke mumtaz Adeeb , Tanzo Mezah nigar Padma Shri Mujtaba Hussain ne ”Modi hukoomat ke peda kardah khauf aur nafrat ke mahool“ mulk ke jamhoriat ke sath khilvad aur jamhoori eqdaar ki pamali, Shehriat tarmeemi act ke zareya mushtarqa tahazeeb ko danista tor par tabah karne ki saazish ke khilaaf ehtijaj ke tor par apna Padma Shri Award margazi hukoomat ko wapas karne ka faisla kiya hai. Mujtaba Hussain ko 2007 mein mulk ka choutha sab se bada shehri award, Padma Shri se nawaza gaya tha. unhoun ne kaha ke wo mojooda sorat-e-haal se duchar hain.
Mujtaba Hussain na sirf hindustan balkay bain ul aqwami satah par urdu duniya mein mumtaz aur munfarid maqam rakhtay hain, Jinhein mukhtalif mumulik mein kayi aala award se bhi nawaza gaya hai. Janab Mujtaba Hussain ki tanzo-o-mazah ke ilawa mukhtalif Asnaf par kayi kitaaben manzar aam par aa chuki hain.
Mujtaba Hussain , Jinki paidaiesh Gulberga mein huvi. Hyderabad mein Jamia Osmania se aala taleem mukammal ki. Mehakma it-tila-aat se apni mulazmat ka aaghaz karne walay Mujtaba Hussain ne apni zindagi ka ek bada hissa Delhi mein guzaraa. Wazifa husn khidmat par subuk doshi ke baad phir Hyderabad ko unhoun ne apna mustaqil thikana bana liya. Wo mumtaz Adeeb janab Ibrahim Jalis aur mumtaz sahafi janab Mehboob Hussain Jigar ke bhai hain.
84 sala tanzo mazah nigaar, Jinhein aksar Urdu ke Marktown kaha jata hai, Inhen dam ghatney ka ehsas huwa hai aur unka zameer inhen jhinjhod raha hai. Musannif ke qareebi zaraye ka kehna hai ke wo shehriat tarmeemi act ( CAA ) aur mujawaza qaumi shehri register ( NRC ) ke zariye community mein peda hone wali nafrat aur khauf se fikar mand hain.
Bar-e-Saghir Hindu-o-Pak ke mashhoor Adeeb Mujtaba Hussain ne mutadid kitaaben likhi hain. Unhoun ne apne Adbi Career ka aaghaz roznama ”Siyasat“ Se kiya aur kuch saal qabal tak wo baqaida colum nigaar they. Agar chay haliya barsoon mein mutadid musanifeen, Shayroun aur fankaroun ne mukhtalif Issues par apna ehtijaj kar vane ke liye awards lautaye hain, Lekin Padam Award wapas karne wali Hussain pehlay shakhs hain. –YTN STAFF