Friday, May 3, 2024
HomeIndiaMarkazi wazeer Piyush Goyal ke Einstein se mutaliq diye gaye Bayan ka...

Markazi wazeer Piyush Goyal ke Einstein se mutaliq diye gaye Bayan ka udaya jaraha hai mazaq

New Delhi : In dinoun markazi wazeer railway wo tijarat Piyush Goyal ka bayan zair-e-behas bana hua hai. aur mulk mein muashi sust rawi aur paanch laakh crore ki maeeshat ki tashkeel ke sawal par Piyush Goyal ke dalail, Social media per trolls ke nishanay par aagaye hain.

Is se qabal auto sector mein sust rawi ke baaray mein wazeer-e-khazana Nirmala Sitharaman ke bayan ke baad mukhtalif goshoun se unki jam kar tanqeed ki gayi thi. is baar markazi wazeer Piyush Goyal logoun ki tanqeedoun ka nishana ban rahay hain.

Darasal jab yeh sawal utha ke moujooda sharah se Hindustan 5 trillion ki maeeshat kaisay banayga, to Piyush Goyal ney mahswara diya ke hisaab kitaab mein mat padhiye, is douran unhon ney Newton ka sehra Einstein  ko de dala. unhon ney kaha ke agar Einstein hisaab kitaab mein padte to ”Nazariya kashish saqal “ dhoond nahi sakte they.

Piyush Goyal ney kaha ke aap ko un hisaboun mein nahi padna chahiye, jo aap TV par dekhte hain ke paanch kharab maeeshat ke liye, mulk ko 12 % feesad ki sharah se taraqqi karni hogi. aaj yeh 6 % feesad ki raftaar se badh raha hai. aisay hisaab kitaab mein mat padhiye, aisi rayazi ney kashish saqal ko daryaft karne mein Einstein ki madad nahi ki.

Is se qabal wazeer khazana Nirmala Sitharaman ney noujawanon ki soch mein badlao ko auto sector mein sust rawi ka zimmedaar qarar diya tha. is ke liye wazeer khazana ko Social media par shadeed tanqeed ka saamna karna pada. Piyush Goyal se mutaliq bhi Social media par aisa hi tanqidoun ka mahol hai, aur unke is bayan par tanz kiya ja raha hai. aur markazi wazeer ki ghalat maloomat par unki hansi udai ja rahi hai aur un ki janib se Einstein se mutaliq di ja rahi mushabihat ko tanqeed ka nishana banaya ja raha hai.

Ytn Staff ke mutaqbi Piyush Goyal ki janib se jo baat ki jarahi hai woh ghalat maloomat par mabni hai. kyunkay Germany mein paeda honay walay ”Albert Einstein “ ney kashish saqal ko daryaft nahi kiya tha. balkay angrezi ke riyazi daan wo tibbi maahir ”sir Issac Newton “ne daryaft kiya tha. jabkay markazi wazeer Piyush Goyal Einstein ki misaal day kar mulk mein jari muashi sust rawi ki is sorat-e-haal mein mulk ko 5 laakh crore ki maeeshat bananay ki baat kar rahay hain.

Jis ka awam ki janib se Social media par jam kar mazaq udaya ja raha hai. pehlay markazi wazeer Nirmala Sitharaman muashi sust rawi se mutaliq diye gaye un ke bayan ke baad awaami tanqidoun ka nishana banin aur ab Piyush Goyal is ke nishana par hain. Darasal, hukoomat ney yeh qubool nahi kya hai mulk muashi sust rawi mein mubtala hai. aisi soorat mein awam ko Social media ke zareya hukoomat ko tanqidoun ka nishana bananay ka mauqa mil gaya hai. –YTN STAFF