Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaMarkazi kabeena ne NRP ko manzoori di, koi dastawizaat paish karne ki...

Markazi kabeena ne NRP ko manzoori di, koi dastawizaat paish karne ki zaroorat nahi

New Dehli: Markazi kabeena ne mangal ko National Population Register ( NRP ) ke liye apni manzoori daydi. Jis mein logoun ko apni shanakht saabit karne ke liye koi dastawizaat pesh karne ki zaroorat nahi hogi. Wazeer aazam Narendra Modi ki zair sadarat markazi kabeena ke ijlaas mein kiye gaye faislay ka elaan karte hue markazi wazeer Prakash  Javadekar  ne kaha ke April 2020 se shuru honay walay NRP ke amal ke douran logoun se koi saboot nahi manga jayega.

Javadekar  ne press conference se khitaab karte hue kaha ke ”Hamara maanna hai, Kisi saboot, Dastawizaat aur bio-metric ki koi zaroorat nahi hai. Aap jo bhi kahin ge, wo durust hoga. Tamam reyastoun ne usay qubool kiya hai aur awam ko mutala kiya hai. Reyastoun ne bhi apni muhim ka aaghaz kar diya hai. unhoun ne kaha ”NPR ek khud sakhta elaan ki bunyaad par hoga aur wahid head count kiya jaye ga“.

Javadekar  ne mazeed kaha ke ”Ye Registrar General of India ( RGI ) ke daftar baraye markazi wizarat dakhla umoor ke tehat aur 2021 ki mardum shumari se qabal kiya jaye ga. Tajweez ke mutabiq, NRP ko update karne ki mashq April aur September 2020 ke darmain tamam reyastoun aur markazi wasti ilaaqoun mein hogi.

Wazeh ho ke NRP ka aaghaz 2010 mein mardum shumari se qabal is waqt ke wazeer aazam Manmohan Singh ki sarbarahi mein UPI hukoomat mein kiya gaya tha. NRP mulk ke bashindoun ka ek register hai. Is ko muqami ( Gaon, Shehar ), Zeli zila, zila, Riyasat aur qaumi satah par shehriat act 1955 aur shehriat ( shehrion ke indraaj aur qaumi shanakhti card ke ajra ke qawaid ) ki daf-aat ke tehat tayyar kiya ja raha hai. –YTN STAFF