New Delhi : Markazi hukoomat ney sabiq wazeer-e-aazam Manmohan Singh ko diye gaye khusoosi tahaffuz group ki Security wapas leli hai. Wizarat-e-dakhla ney ab inhen markazi Security force ka Z + Security cover dainay ka faisla kiya hai. zaraye ka kehna hai ke Manmohan Singh ki SPG Security ko hataane ka faisla liya gaya hai.
ISi tarhan sabiq wazeer-e-aazam hd deve gowda aur VP Singh ka hifazati cover bhi hata diya gaya tha. Manmohan Singh ke qareebi zaraye ney bataya ke inhen zaati tor par Security ke baare mein koi fikar nahi hai, woh hukoomat ke faislay par raazi hain.
Indra Gandhi ko unke Security guards ke qatal ke baad 1985 mein wazeer-e-azam ki hifazat ke liye SPG ki tashkeel amal mein layi gayi thi.
1991 mein sabiq wazeer-e-aazzm Rajiv gandhi ke qatal ke baad, SPG act mein tarmeem ki gayi thi aur sabiq wazeer-e-aazam aur unke ahal-e-khanah ko aindah 10 saloun tak SPG tahaffuz faraham karne ka intizam kiya gaya tha. aur 2003 mein vajpaye hukoomat mein is act mein tarmeem ki gayi thi Aur 10 saal ki had ko kam karkay ek saal kar diya gaya tha. iske sath hi yeh bhi ek bandobast kiya gaya tha keh khatray ko mad-e-nazar rakhtay hue markazi hukoomat Security ki ki aakhri tareekh taye karegi. –YTN STAFF