Monday, May 12, 2025
HomeSliderMarkazi hukoomat ney ”ITIR“ ke liye koyi fund Manzoor nahi kiya :...

Markazi hukoomat ney ”ITIR“ ke liye koyi fund Manzoor nahi kiya : KTR

Hyderabad : Telangana ke wazeer IT , KT Rama Rao ney hafta ke roz kaha ke ”Markazi hukoomat ney Hyderabad mein information technology aur investment regain ( ITIR ) bananay ke liye ek rupiya bhi Manzoor nahi kiya hai.

KTR  ney reyasti assembly ko bataya ki national democrat alliance ( NDA ) ki hukoomat ney Sabiqa yona United Progressive Alliance (UPA) 2, hukoomat ke Manzoor shuda project ke liye koi madad faraham nahi ki.

Unhon ney kaha ke is waqt ke wazeer IT  Ravi Shankar prasad aur wazeer-e-khazana Arun jaitley se mulakhaton ke douran baar baar darkhwaston ke ba-wujood aur riyasat ke khutoot ke bawajood bhi markaz ney koyi raqam faraham nahi ki. unhon ney opposition ki taraf se lagaye gay un ilzamaat ko mustard kar diya ke ”Riyasati hukumat ney markaz ko matlooba maloomat faraham nahi ki aur is ke nateejay mein IT IR ke amal mein takheer nahi hui.

KTR  ney congress rehnumao se poocha ke karnatak mein unki apni hukoomat Bangalore mein IT IR ke qiyam mein kyun nakaam rahi hai. unhon ney kaha ke markaz ke IT IR ke liye koyi fund na dainay ke ba-wujood. IT  secotr mein Telangana ki taraqqi nahi ruki. TRS hukoomat ki fa-aal policies ki wajah se, is shobay mein taizi se taraqqi ho rahi hai.
Unhon ney kaha ke dehi technology ki policy ke tehat, bpo companian, Nizamabad, Huzoor nagar, Kareemnagar aur Jadcherla jaisay shehroun mein kaam karna shuru kardengi. unhon ney kaha ke Hyderabad mein anay walay multimedia, animation, gaming and entertainment ( IMAGE ) mein wo vision do saloun mein mukammal hoga. –YTN STAFF