Saturday, May 4, 2024
HomeIndiaMarkazi hukoomat ne E-cigarette ki taiyari aur farokht par mukammal pabandi laganay...

Markazi hukoomat ne E-cigarette ki taiyari aur farokht par mukammal pabandi laganay ka kiya faisla

New Delhi : Markazi hukoomat ne E-cigarette ki tayari aur farokht par mukammal pabandi laganay ka faisla kiya hai. Chaharshambe ko markazi kabeena ke ijlaas mein yeh faisla liya gaya. kabeena ke ijlaas ke baad wazeer-e-khazana Nirmala Sitharaman ne kaha ke E-cigarette muashray mein ek naya masla paeda kar raha hai aur bachay usay apna rahay hain.

Wazeer-e-khazana ne kaha ke E-cigarette bananay, Dur aamad, Bar-aamad, farokht, taqseem, zakheera karne aur ishtihar par pabandi hogi. Wazeer-e-khazana ne press conference mean ke douran kaha ke E-Cigarette ordinence 2019 par wazraa ke group ne baat cheet ki hai, aur wizarat sahet ne is ordinence ke masoude ke talluq se tajweez paish ki hai ke is pabandi ki pehli bar khilaf warzi karne walon ke liye ek laakh rupiye jurmana aur ek saal ki saza honi chahiye. aur baar baar jurm karne walon ke liye 5 laakh rupiye jurmana aur ziyada se ziyada teen saal ki jail ki saza ki sifarish ki hai.

Is se qabal August mein, wazeer-e-aazam ke daftar ki hidaayat ke mutabiq, E-cigarette mamnooa ordinence 2019 ko GOM ko bheja gaya tha. wazeh hoke E-cigrette, yani Electronic cigarette, ek battery se chalne wala ala hai, jo tambaku nahi jalatay hain, balkay maya keemiyai madaoun ko bhaamp mein mein tabdeel karta hai. usay Voping bhi kehte hain. E-cigrette ek tube ki shakal mein hota hai aur is ki baahiri shakal cigrette aur sigaar ki tarhan ki hi hoti hai, aur yeh cigarette, ya cigaar ki tarhan hi zayega deta hai. E-cigrette ko sahet ke liye nuqsaan da samjha jata hai. –YTN STAFF