Thursday, May 2, 2024
HomeHyderabadMarkazi hukoomat ko Kashmir se pyar hai, kashmiriyon se nahi: Asad Owaisi

Markazi hukoomat ko Kashmir se pyar hai, kashmiriyon se nahi: Asad Owaisi

Hyderabad: Jammu Kashmir ko khusoosi darjah dainay walay aeen ke Article 370 aur Article 35A ko hataane par Tamil Filmon ke adakar o siyasat daan Rajnikant ney wazeer e aaazm Narendra Modi aur Markazi wazeer e dakhla Amit Shah ko ”Krishna aur Arjun” qarrar diya. Jis par kul Hind Majlis Ittehadul Muslimeen ke sarbarah o rukan parliament Hyderabad Asaduddin Owaisi ney sawal kiya ke ”kya Mulk mein aik aur Mahabharath chahteh hain…?

Ittila ke mutabiq, wazeer e aaazm Narendra Modi aur BJP ke khilaaf aawaz uthany walay Asad Owaisi ney kaha Tamil Nadu ke aik adakar ney wazeer e aaazm Narendra Modi aur wazeer e dakhla Amit Shah ko Article 370 hataane par Krishna aur Arjun qarar diya hai, to in halaat mein koro aur pandov kon hain..? kya aap Mulk mein aik aur Mahbharath chahtay hain…?

Is ke ilawa Asad Owaisi ney Mulk ke pehlay wazeer e aaazm Jawaharlal Nehru  aur phele nayab wazeer e aaazm o wazeer e dakhla Sardar Valabhai Patel ki janib se Kashmir par kiye gaye faislay ki himayat karte huwe yeh bhi kaha ke Bhartiye Jansang ke rehnuma, Shyama Prasad Mukherjei ney bhi Article 370 ko qubool kya.

Asad Owaiosi ney kaha ke Wazeer e aaazm Narendra Modi ke paas Sardar Patel aur Jawharlal Nehru jaisi siyasi Tafheem nahi hai.. jab unhon ney Kashmir ke barey mein faisla liya to unhon naay Mulk ki mafaad mein kya tha. Asad Owaisi ney kaha ke Bhartiya Janata Party hukumoot Jansang ke agenday ko nafiz karne ki koshish kar rahi hai.

Majalsi rehnuma Asad Owaisi Mangal ki raat MIM daftar mein eid ke mushtarqa ijlaas se khitaab kar rahay they. Unhon ney mazeed kaha ke Modi hukoomat naay Article 370 aur 35A ko khatam kar ke aur jammu o Kashmir ko do markazi khitton mein taqseem kar ke aeen ki khilaaf varzi ki, aur is laa parwah iqdaam ke sath hukoomat ney hindostan Nawaz kashmiriyon ko alehadgi pasandoun ki goad mein daal diya hai.

Asad Owaisi ney markazi hukoomat par Iqtidaar se pyar karne ka ilzaam lagatay huwe kaha main jaanta hon ke hukoomat ko Kashmir se pyar hai, kashmiriyon se nahi.. mein jaanta hon, inhen zameen se pyar hai, wahan rehne walon se nahi. Inhen Iqtidaar se pyar hai, insaaf se nahi. Woh sirf Iqtidaar par rehna chahtay hain, lekin mein inhen yaad dilana chaahun ga ke koi bhi hamesha zindah nahi rehta, aur hamesha raaj nahi karta.

Asad Owaisi ney ilzaam lagaya ke Modi hukoomat Jammu Kashmir mein assembly halqon ki had bandi ke zareya Kashmir ke aabadyati nizaam ko tabdeel karne ki koshish kar rahi hai taakay BJP ke rehnuma ko wazeer aala ke tor par install Karen.