Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaMarkazi hukomat maholiyati asrat ( EIA ) ko nafiz na kare

Markazi hukomat maholiyati asrat ( EIA ) ko nafiz na kare

New Delhi: Social Democratic Party of India ( SDPI ) ke qaumi sadar MK Faizi ne apne jari kardah akhbaari bayan mein kaha ke markazi hukoomat ki taraf se agar maholiyati asraat ki tashkez ( EIA ) Notification 2020 ko nafiz kiya gaya to is se mulk ka maholiyati nizaam aur mahol ghair mustahkam hojaye ga. MK Faizi ne markazi hukoomat se mutalba kiya hai ke wo mutaliqeen ko apne khayalat ka izhaar karne aur mashwaray dainay ka mauqa faraham kiye baghair is ko nafiz nah kere.

Maholiyati asraat ki tashkez ( EIA ) kaanon sameit mukhtalif mansoobon ke liye laazmi hai. Bunyadi dhanchay ke mansoobay jaisay sadkain, Shahrahin, Bandar gahin aur hawai adday, Thermal Power Plants, Dam aur sanaten jaisay Electroplating aur Foundry Unit ke liye bhi EIA laazmi hai. EIA ko sab se pehlay 1978 mein nafiz kiya gaya tha aur EIA mein mamooli Updates kiya gaya tha aur taaza tareen tarmeem main 2016 manzoor ki gayi thi . Wizarat maholiyaat, Janglaat aur mousmi tabdeeli ne ab 2006 Notification mein tarmeem ki tajweez pesh ki hai jis ka maqsad is amal mein mojood pabandion ko khatam karna hai jis ke nateejay mein sangeen maholiyati masail peda hunge. Is Notification ko 23 March 2020 ko mulk bhar mein lockdown ke mauqa par hi jari kiya gaya, Baghair kisi ziyada tashheer ke usay sirf Website par Upload kiya gaya tha.

ye Re-deceleration ke usool 10 aur fitry insaaf ke usool ki sarih khilaaf warzi hai. Notification mein tajweez kardah badi tarameem ye hain. 1). Companiyon ko laazmi tor par awaami samaat ki zaroorat nahi hai. 2 ). Companiyon ko har 6 mah baad tameel report pesh karne ke bajaye salana report pesh karne ko kaha gaya hai. 3 ). Awaami samaatoun ke douran awaami rad-e-amal pesh karne ke liye faraham kardah waqt ko 30 din se 20 din kardiya gaya hai. Awaami samaat ka amal 45 din ki bajaye 40 din mein mukammal karna hai. Is tajweez se companiyon ko logoun ya maholiyati tanzeemoun ki manzoori ke baghair mansoobon par amal dar-amad karne ka ahel banata hai.

Is se yakeeni tor par logoun ko baday pemanay par be ghar hona pade ga aur na qabil tanseekh maholiyati nuqsaan hoga. Hukoomat ko mutasirah logoun ki shamoliat ke baghair faislay lainay ka ikhtiyar haasil hojaye ga. Pehli tarmeem ki is chhuut se faida uthany wali companiyon mein aisi keemiyai sanaten shaamil hi jo tezaab, Paint, Khaad waghera peda karti hain aur ye companian zahreeley fazlay ko baher nekalti hain jo aas paas ke ilaaqoun ke liye nuqsandah hai. Ye fazlah aabi wasail, Hawa ke miyar aur matti ke miyaar ko aaloda karne ka sabab bantaa hai. Doosri tarmeem mein tameel report pesh karne ke waqt mein narmi barti gayi hai is se companiyon ko aasani se un ki khamioun ko chupaney mein madad millti hai. Ye qudrati wasail ka istehsaal karne wali companiyon par vizarat maholiyaat ki girift ko mazeed kamzor karde gi.

Aarey jungle aur Vidhanta Private Limited jaise jaali reports ki pehlay se hi saabit shuda misalein mojood hain. Nisbatan is se bhi ziyada mazboot shaqq honay ke bawajood to to guddi waqea mein police ney 13 muzahireen ko firing karkay halaak kardiya tha. Teesri tajweez mein un logoun ko apnay khayalat, Tabsaray aur tajaweez pesh karne ke liye munasib waqt dainay se inkaar kiya gaya hai jo is mansoobay se mutasir hunge. Aisay ahmiyat ke haamil awaami samaatoun ka mazaq udaya gaya hai.