Friday, April 19, 2024
HomeJurmMaoists ne MLA aur sabiq MLA ko golian maardien

Maoists ne MLA aur sabiq MLA ko golian maardien

 

MaoistsVisakapatnam. Telugu Desam Party ke Rukn e Assembly Araku Mr. Kidari  Sarveshwara Rao aur sabiq Rukn e Assembly  Sivera Soma ko itwaar ki dopehar Dumbriguda Mandal ke mauza Thottangi mein Maoists ne golian maar kar halaak kardiya. Yeh waqea intahaa pasand tanzeem CPI Maoists ki tasees ke hafta taweel tqarib ke douran paish aaya. Maoists ne 27th  September tak hafta taweel jashn mananay ka elaan kya tha. Zaraye ke bamawajib Kidari  Sarveshwara Rao jo Araku halqa e Assembly se YSRCP ke ticket par muntakhib hue thae taham baad azan Telugu Desam Party mein shumoliat ikhtiyar karli thi. Woh aik sabiq Rukn e Assembly Mr. Soma aur deegar haamion ke hamrah Dumbriguda Mandal jarahay thae ke yeh haadisa paish aaya. Taqreeban 60 Maoists bashmool women cadre iss hamla mein mulawis hain. Bataya jata hai ke yeh qaideen ”Gram Darshini” programme mein shirkat ke liye jarahay thae ke Maoists ka aik group dehation ke saath pahonch kar MLA ki car ko rok diya. Joon hi MLA aur sabiq MLA ke Personal Security Officers gaadi se utre, un se AK 47 hathyaar chean liye gaye aur Sarveshwara aur Soma par qareeb se golian chaladi gayeen. Police ko shuba hai ke is hamla mein Maoists ki Andhra-Odehesa Border Committee ke Secretary Rama Krishna ki zair e qayadat Maoists ka group mulawis ho sakta hai. DIG Visakapatnam range Mr. Srikant ne bataya ke un ke paas waqea ke baare mein kuch maaloomat hain taham hum haqaaiq ka pata chlarhe hain. Rurel SP Mr. Rahul Dev Sharma ne kaha ke mahkuma e Police ne Naxalites ki hit list mein shaamil tamam syastdanon ko pahelay hi se notices jari kar diye thae ke dihaton ka daura karne se qabal nazm wo nasq ko agah kardiya jaye. Lekin Rukn e Assembly Kidari  aur sabiq Rukn e Assembly Soma ke Dumbriguda mandal ke daura ke baare mein Police ko aagah nahi kya gaya tha. Deegar zaraye ka kehna hai ke Maoists ne un do qaideen ko baat cheet karne ke liye talab kya tha aur jab woh wahan pahonche toh Maoists ne un par ilzaam aayed kya ke maazi mein hue encounter ke liye woh zimma daar hai jis ki saza ke taur par unhen maut ke ghaat utaar diya gaya hai. Chief Minister Andhra Pradesh Mr. N. Chandrababu Naido ne iss waqea ki muzammat karte hue mutwafi qaayideen ke arkaan khandan ko pursa diya. New York rawaangi se qabal unhon neh Police ke ohdedaron se tabadlah khayaal kiya. Unhon ne kaha ke jamhoriat mein tashadud ki gunjaish nahi hai.