Friday, May 17, 2024
HomeHyderabadMaoists ke sath mubaiyana rawabit ke ilzaam mein Osmania university ke professor...

Maoists ke sath mubaiyana rawabit ke ilzaam mein Osmania university ke professor ki giraftari

Hyderabad : Telangana police ne hafta ke roz Maoists se mubayyana taluqaat ke ilzaam mein Osmania university ke ek professor ko girftar kiya. lekin chand ghanton baad high court ne police ko itwaar ko chief justice ke rubaroo pesh karne ki hidaayat ki. High court ne itwaar ki subah Siddipet district police ko justice RS chouhan ke samnay unki rahaish gaah par C.kasim ko pesh karne ki hidaayat ki.

Civil liberties association ne Qasim ki giraftari ko challenge karte hue ek house motion muntaqil karne ke baad cheif justice ko hidaayat ki. Darkhwast guzaar ne cheif justice ko bataya ke, Qasim ko 2016 may darj ek muamlay mein girftar kiya gaya tha. cheif justice ne haerat ka izhaar kiya ke police ye kaisay keh sakti hai ke Qasim mafroor tha, jabkay woh baqaida duty par ja raha tha aur classes le raha tha.

Unhon ne yeh bhi jan-nay ki koshish ki ke kya unhon ne giraftari ke liye Osmania university ke chancellor se ijazat li hai. jab police ne adalat ko mutala kiya ke wo itwaar ke roz gujwel ki adalat mein paish honge. to cheif justice ne inhen itwaar ki subah saarhay das bajey apni rahaish gaah par paish karne ki hidaayat ki.

Police ne Osmania university ke staff quarters mein Qasim ki rahaish gaah ki talashi li aur usay tehweel mein le liya. police ne kitaaben, computer hard disk aur mobile phone qabzay mein le liye.

Mehakma Telugu mein ek professor, Qasim ko haal hi mein inqalabi writers association ke secretary ke tor par muntakhib kiya gaya tha. woh ek telugu akhbar ”Nedustana telangana“ ( hum asar telangana ) ke editor bhi hain. un ki giraftari par talba ki taraf se campus mein rally nikaali gayi aur unki unki fori rihayi ka mutalba karte hue muzahirey kiye. Police ne kuch muzahireen ko girftar karkay police station muntaqil kar diya.

communist party of India ( CPI ) ke secretary, ke narayan ne ilzaam lagaya ke hukoomat Maoists ke rawabit rakhnay aur unke khilaaf jhutay muqadmaat darj karne ke bahanay danista tor par danishwaron ko harasan kar rahi hai “. girftar kiye gaye professor Qasim ki biwi ne ilzaam lagaya ke police ghar ka darwaza todh kar ghar mein ghus gayi. unhon ne bataya ke 2016 mein Qasim par hyderabad se adilabad janay walay musafir se Bar aamad shuda kitabon ki bunyaad par ek jhoota muqadma darj kya gaya tha. –YTNSTAFF