Hyderabad: Maulana Azad National Urdu University ( MANUU ) ney saaray mulk mein aisi wahid lasani jamia ka aizaz haasil kiya hai jisay sarkardah angrezi jareeda Outlook ney markazi jamiyaat ki mulkgeer ranking mein 24 wahn maqam ataa kiya hai. MANUU Urdu University musalsal dosray saal markazi jamiyaat ki 25 sarkardah Universities ki fehrist mein shaamil hogayi hai. Outlook ne I-Care idaara ke sath mil kar Hindostan ki sarkardah markazi jamiyaat mein talimi-o-tehqeeqi umdagi, Sanat ke sath rabita aur Placement, Infrastructure sahuliyaat, Hukmarani-o-dakhlay aur tanawu-o-rasayee jaisay mayarat ki bunyaad par haal hi mein jari kiya gaya. UGC ke mutabiq Hindostan mein is waqt 54 https://magazine.outlookindia.com/ yeh survey kiya hai jisay Outlook Website markazi jamiyaat hai. University Grants Commission ki Website par filhaal sansikrat ki 3, Hindi ki 1 aur angrezi-o-bairooni Al sanah ki ek markazi jamiyaat ke naam mojood hai.
Professor SM Rehmatullah, Vice Chancellor Incharge aur Professor Siddiqui Mohammad Mahmood, Registrar incharge ka izhaar musarrat
Professor SM Rahmatullah, Vice chancellor incharge ny MANUU ka naam Outlook Ranking mein shaamil honay par talba, Asateza aur MANUU shaamil baradri ke tamam arkaan ko mubarakbaad dete hue apne ek bayan mein kaha ke is aizaz ny MANUU ke tahe hamari zimma daari mazeed badhadi hai. Ab hamein pehlay se ziyada khuloos, Mehnat aur lagan se kaam karna hoga. MANUU ki janib se musalsal dosray baras mulk geer satah par umdah rank ka husool aala satah par Urdu zareya taleem ki kamyabi ke talluq se tamam shukook-o-shubhat ka azaala karta hai.
Professor Siddiqui Mohammad Mahmood, Registrar incharge ney is kamyabi ke liye talba, Research Scholars, Asatza, Ohdidaon aur ghair tadrisi amlay ko Mubarak badi di. Unhoun ney kaha ke MANUU Urdu zabaan mein takneeki aur fani Course kamyabi ke sath chala rahi hai. Is ki kamyabi deegar lasani jamiyaat ke liye ek misaal ban gayi hai.
Wazeh rahay ke 1998 mein parliament mein qanoon saazi ke zareya wujood mein anay wali aur Maulana Abul Kalam Azad jaisi ilmi aur amli shakhsiyat se mansoob qaumi Urdu University ne apni umdah karkardagi ke zareya jahan Urdu zareya taleem ki ifadiyat aur deegar zaraye taleem se hamsari saabit ki hai wahein is ne sarkari-o-ghair sarkari satah par mukhtalif goshon se sataish bhi haasil ki hai. Khaas aala taleem ki tanqeeh ke sarkari idaray National Accreditation and Assessment Council ney usay musalsal 2 martaba A Grade ataa kiya hai. University se farigh talba ney bain ul aqwami companiyon aur sarkari shobo mein rozgaar haasil karte hue mojooda zamane mein rozgaar se Urdu ke talluq ke baaray mein payi jaaney wali ghalat fehmiyon kabhi azaala kiya hai.