Sunday, April 20, 2025
HomeHyderabadMANUU mein Urdu Medium asateza ke liye E-Learning par online workshop

MANUU mein Urdu Medium asateza ke liye E-Learning par online workshop

Hyderabad: Covid-19 ke tanazur mein E-Learning ki zaroorat aur ifadiyat mein barq-e-raftari se izafah huwa hai. Lehaza E-Learning ke wasail aur masail se asateza Urdu zareya taleem ko roshnaas karanay ki gharz se Maulana Azad National Urdu University ke markazِ pesha warana farogh baraye Asateza Urdu zareya taleem ( CPDUMT ) ke zair-e ihtimaam 6 roza online workshop ka 13 taa 18 July 2020 ihtimaam kiya ja raha hai.

Professor Mohammad Abdul Sami Siddiqui , Director Markaz ke bamujab CPDUMT apne qiyam se asatezaa Urdu taleem ke liye mukhtalif tarbiati programs ka ineqad amal mein lata raha hai. 2006 se ab tak 3 hazaar se zayed asatezaa inn programs se istifada kar chuke hain.

Khawahish mand asatezaa se iltamas kiya gaya hai ke wo https ://forms. gle / ocwcgzsnxryrrnfw8 link par Registration form pur karen. Is 6 roza online workshop ke liye koi Registration fees nahi hai. link https : / / t. me / joinchat / pukmlx27h9yufftebiah5w Ke zariye Telegram group mein shaamil hokar workshop se mutaleq mowad hasel kiya jasakta hai.

13 taa 18 July 2020 har din live session Zoom ya Google Meet aur YouTube live ke zariye subah 11 bajey taa do pehar 1 bajey hoga. Sabhi Seasons mein shirkat zurori rahay gi. 6 dinoun mein kul 5 amli kaam diye jayen ge jin mein se koi 3 kaam mukammal karna laazmi hoga.
Workshop ke ekhtataam par shirka ki raye jan-nay ke liye Feedback form diya jaye ga. Jisay pur karne par shirka ku E-Certificate ( sadaqat nama ) bah zareya E-Mail diya jaye ga. Tafseelaat ke liye janab Misbah Anzer , Assistant Professor se mobile number 9948412484 ya Dr Mohammad Akbar Azmi, Assistant Professor se 8373984391 par rabt peda kiya ja sakta hai.