Hyderabad: Maulana Azad National Urdu University ( MANUU ) ke Urdu medium asateza ki tanzeem, Professional development of Urdu medium Teachers (CPDUMT ), 16 aur 17 January ko urdu medium asateza ke liye ”tadresi aur asri umoor ke “ unwan se 2 roza qaumi seminar ka inqaad kar raha hai.
Peer ko CPDUMT Auditorium, MANUU Campus mein munaqidah iftitahi Session ki sadarat Vice chancellor, Dr Mohammad Aslam Parvaiz ne kiya. Apne sadaarti khitaab mein unhoun ne kaha ke ”Aasatezh ki zimma daari talba ki hama jahat shakhsiyat ke farogh ko yakeeni banana hai. Unhoun ne kaha ke taleem sirf ek pesha nahi, Balkay ek mission hai.
Professor S. M. Rahmatullah, Registerar I / C ne urdu taleem ko badhawa dainay ke liye urdu script ki bhar poor taied ki. Professor Naseemuddin Farees, Dean, school of Languages, Linguistics & Indology ne klidi khitaab kiya. Professor Dean, School of education and Training Noushad Husain ne bhi is mauqa par khitaab kiya.
Is se qabal, Markaz ke Director Professor Mohammad Abdul Sami Siddiqui ne ijtima ka kher muqaddam kiya aur seminar ke baare mein maloomat faraham kee. Assistant professor Misbah-ul-Anzar ne karwai chalaye, Aur dr Mohammad Akbar, Assistant professor ne shukriya ada kiya. Seminar ka ahem ijlaas 17 January ko shaam 4.15 bajey munaqqid hoga. –YTN STAFF