Sunday, April 28, 2024
HomeHyderabadMANUU ke dakhila imthehaan ka 16 marakiz par aaghaz

MANUU ke dakhila imthehaan ka 16 marakiz par aaghaz

Hyderabad: Maulana Azad National Urdu University ( MANUU ) ke Regular Courses mein dakhila ke liye Entrance Test ka aaj mulk ke 16 marakis mein Covid-19 se peda shuda sorat-e-haal ke pesh-e-nazar nihayat sakht ahteyati iqdamaat ke darmiyan aaghaz amal mein aaya. Covid-19 ke pesh-e-nazar sakht tareen ahthyat. Pehlay din 65 feesad talba ki shirkat Dakhila imthehaan ka silsila 29 aur 30 September ko bhi jari rahay ga. Professor Siddiqui Mohammad Mahmood, Registrar incharge ki ittila ke bamujab University ne UGC ki hidayat ke mutabiq Entrance test ke ineqad ke liye tamam tar ahteyati iqdamaat kiye hain. Imtihani marakiz par umeedwaron ki salamti ko yakeeni bananay un se Covid halafane par dastakhat liye gaye.

PPE mein malbos MANUU ke arkaan amlah ko mukhtalif marakiz par umeedwaron ka darja hararat check karte hue dakhila liya gaya. Janab Mirza Farhatullah Baig Controller imtehanaat ke mutabiq dakhila imthehaan ke pehlay din subah ke Session mein tamam marakiz par ba-hasiat majmoi taqreeban 65 feesad talba ne imthehaan likha. MANUU Dakhila test bek waqt Hyderabad marakiz ke ilawa Aurangabad, Azamgarh, Bangalore, Bhopal, Bidar, Darbhanga, Delhi, Kadpa, Kishanganj, Luckhnow, Patna, Sambhal, Srinagar mein munaqqid ho raha hai. Taqreeban 10,000 talba 3 din mein shirkat karen ge.

Isi douran Maulana Azad National Urdu University ( MANUU ) ne Final Semester ke imtehanaat ka kamyabi ke sath online ineqad amal mein laya hai. Dr Mohammad Kamil’ Director incharge’ Center for Information Technology ( CIT ) o Additional Controller imtehanaat ke bamujab CIT ne Covid-19 ke pesh-e-nazar baghair kisi rukawat ke online imtehanaat ke ineqad ke liye ek Software tayyar kiya hai. Talba ko apne ghar se Audio visual sahoolat ke haamil mobile ya Laptop ka istemaal karte hue imthehaan likhnay ka ikhtiyar diya gaya hai. Professor SM Rehmatullah ‘ Vice Chancellor incharge ne semester imtehanaat ke kamyaab online ineqad par CIT’ shoba imtehanaat aur deegar tedrisi shobo ki sataish ki hai.