Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaMandir ki tameer mein muslim personal law board rukavat paida na kare...

Mandir ki tameer mein muslim personal law board rukavat paida na kare : Giri

Prayagraj:  Ram janam bhomi. Babri Masjid tanaza ke muamlay mein Supreme court ke faislay par All India Muslim Personal Law borad ki janib se nazar sani ki arzi daakhil karne ke elaan par tabsarah karte hue Akhil Bhartiya Akhara Parishad ke sadar Mahant Narendra Giri ne kaha ke board ko mandir ki taamer mein rukavat nahi dalni chahiye.

Mahant Giri ne yahan kaha ke adalat ke faislay par nazar sani ki appeal karna mulk ke mafaad mein nahi hoga. aisay logoun ke khilaaf ghaddari watan ka muqadma darj hona chahiye. unhon ne daawa kiya ke adalat ke faislay ko musalmanoun ki aksariyat ne bhi qubool kiya hai ab All India Muslim Personal Law board ko is muamlay mein rukavt paida nahin karni chahiye.

AIMIM ke sadar wo rukan-e-parliment Asad uddin Owaisi ki tanqeed karte hue giri ne Owaisi aur muslim personal law board ki sar garmion ki jaanch ka mutalba kiya. Giri ke mutabiq jaanch ke baad ye baat samnay aajayegi ke ye log kiske isharay par kaam kar rahay hain. Unhoun ne Owaisi par Pakistan ke Wazeer-e-Azam Imran Khan ka agent honay ka ilzaam lagaya hai.

Unhon ne kaha ke Ayodhya faislay par Supreme court ke faislay ke baad mulk mein aman wo aman qayam hai. mulk ke musalmanoun ka aeen aur adliya par poora yaqeen hai. jin logoun ko adliya aur aeen mein yaqin nahi hai wohi log faislay par nazar sani ki appeal baat kar rahay hain. Mahant Giri ne Iqbal ansari aur UP sunni central waqf board ke chairman ke adalat-e-uzma ke faislay par kisi bhi soorat mein nazar sani ki appeal daakhil na karne ke faislay ka istaqbaal kiya. YTN STAFF