Thursday, May 9, 2024
HomeIndiaMamata banerjee jo zimmedari deinge woh qubool hain: Sushmita dev

Mamata banerjee jo zimmedari deinge woh qubool hain: Sushmita dev

Congress ki sabiq rukun parliament Sushmita dev ne kaha ke congress chodkar Trinamool congress mein shamil hone ka faisla unho ne awaami jazbat ke madde nazar kiya hain lekin congress party se unhe koie shikayat nahi hain. Yaha Trinamool ke Rajya sabha rukun aur tarjuman Derik o’brien ki maujoodgi mein Sushmita dev ne ek press conference se qitaab karte huwe kaha ke congress chodne ka faisla zaati asbab se nahi tha. Balke awaam aur mulk ke tai zimmedari ki wajeh se unhe yeh khadam utaya. Unho ne kaha ke main ne bagair kisi shart Trinamool congress mein shumooliyat iqtiyar ki hai. Main is party mein ainda 30 ya 35 baras Tak kaam karna chahti hoon mujhe tanzeem ka kaam karna acha lagta hain. Mamata banerjee jo bhi zimmedari deinge woh Puri khud supurdigi ke saath adaa karungi.

Sushmita dev ne kaha ke Trinamool congress supremo aur Chief minister Mamata banerjee se mere khandani taluqaat 40 barso se hain. Mamata banerjee ne awaami mafadat se musalik kaam aur mulk ki taraqqi ke tai unke nazariya ko sab ne dekha hain unho ne magribi Bengal mein behatreen intezamia dikhai hain. Party ka musataqbil Roshan hain aur banerjee aur party ke general secretary Abhishek banerjee ki Jodi rang laeigi

Sushmita dev ne kaha ke congress sadar Sonia Gandhi ko sompe gaye mere istefa naame mein party chodne ki wajeh tehreer hain. Mujhe umeed hain ke Sonia Gandhi ka ashirwad mujhe hamesha milta raheiga. Congress ke sabiq Rahul Gandhi aur Trinamool congress ke general secretary banerjee ka muazna karna munasib nahi hain.