Friday, May 17, 2024
HomeTrending NewsMalls mein Namaz gaahoun ko kholnay ka elaan

Malls mein Namaz gaahoun ko kholnay ka elaan

Dubai: UAE main Shopping Malls aur dafatari Towers mein Namaz ke liye makhsoos Hall dobarah khole ja rahay hain. Media ke mutabiq Emarat ki reyastoun mein paiir 20 July se namazyoun ke liye Shopping Malls aur deegar daftari towers ke hall aur makhsoos kamray dobarah khol diye jayen ge. Safoon mein munasib faaslay ke baad ye gunjaish 30 feesad namazyoun ke liye hogi.

Coronavirus ke phelao ku rukne ke liye munasib iqdamat ke baad ye narmi ki ja rahi hai. Emirate ki sarkari News agency WAM ney kaha hai ke ibadat guzaroun ko 2 meter ka jismani faasla barqarar rakhna chahiye, Inhen Namaz se pehlay aur is ke baad jama honay ki ijazat nahi hugi.

Aapas mein musafa karne se bhi har soorat mein parhaiz karne ki hidayat di gayi hai jabke namaz ke liye makhsoos jaghoun par daakhil honay se qabal Mask lagana aur hathoun ko saaf rakhna zaroori hai.

WAM ke mutabiq Islami Authority baraye Islami umoor aur National Emergency crisis and Disaster Managment Authority ke hawalay se kaha gaya hai ke Masjid ke ander maojod agar Quran ki talawat karna chahain tu mukammal khayaal rakhtay hue Smartphones samait deegar zaati Electronic aalat istemaal karen. Wudu khaanoon ko khusoosi hifazati intizamaa ke tehat har namazi ke istemaal ke baad sanitize kiya jaye ga. Wudu khanaay mukammal sanitize kar ke har namaz ke bad band kar diye jayen ge.