Mumbai : Malegaon 2008 bomb dhamaka muqadma ki samaat band kamray mein kiye jane ki qaumi tafteeshi agency ( NIA ) ki arzdasht ki bomb dhamaka mutasireen ne izafi halaf nama daakhil karte hue ek martaba phir mukhalfat ki hai. aaj khusoosi NIA adalat mein mutasireen ki numaindagi karne jamiat-ul-ulama Maharashtra ( Arshad Madani ) ki janib se senior advocate BA Desai adalat mein paish hue aur adalat mein izafi arzdasht daakhil ki jisay khusoosi judge ne samaat ke liye qubool karliya.
Wazeh rahay ke guzashta dinon qaumi tafteeshi agency ke wakeel ne khusoosi adalat mein ek arz daasht daakhil karte hue muamlay ki samaat band kamray mein ( on camera ) kiye jane ki guzarish ki thi jis ke khilaaf darkhwast sab se pehlay jamiat-ul-ulama ke tavassut se bomb dhamaka mutasireen ne khusoosi NIA adalat mein daakhil ki thi neez aaj arzdasht ko mazeed taqwiyat dete hue izafi arzdasht senior advocate BS Desai ne daakhil ki.
Senior advocate BS Desai ne khusoosi NIA judge ko mazeed bataya ke yeh insaaf ka takhaza hai ke is ahem muamlay ki samaat jis par poori duniya ki nigehain markooz hain, khuli adalat mein hona chahiye jis par judge ne inhen hukum diya ke woh is taaluq se kal subah 11 bajey behas karen aur apni samaat multawi kardi. isi darmiyan NIA sahafion ki janib se daakhil kardah arzdasht par apna jawab daakhil karte hue adalat ko bataya ke is muamlay mein sahafion ko kuch bhi kehnay ka haq nahi hai lehaza unki mudakhlat karne ki arzdasht ko kharij kardiya jana chahiye.
NIA ki janib se daakhil kardah arzdasht par apna radd-e-amal zahir karte hue jamiat ulaam qanuni imdad committee ke sarbarah Gulzar Aazmi ne kaha ke NIA bomb dhamaka mutasireen ko mubayyana madad pohanchanay ki gharz se adalat mein yeh arzdasht daakhil ki hai taakay woh band kamray mein samaat karwatay hue haqayiq se parda poshi kar sakay lekin jamiat ulama ne faisla kiya hai ke woh NIA ki is saazish ko kamyaab honay nahi degi isi liye senior advocate BS Desai ki khidmat haasil ki gayi hai aur unk muawinat ke liye advocate Shahid Nadim , advocate Hetali seth wo deegar ko muqarrar kiya hai. –YTN STAFF