Thursday, April 25, 2024
HomeJurmMalakpet mein insani smuggling karne wala racket be naqaab, kayi giraftar

Malakpet mein insani smuggling karne wala racket be naqaab, kayi giraftar

Hyderabad: Rachaknda police ki khusoosi operation team ( SoT) ne Medpally police ke hamrah Malakpet mein tours and travels company ke daftar par chhapa mara aur chaar afraad ko mubayyana tor par insani smuggling ke ilzaam mein giraftar kiya. Police ne un ke qabzay se visa dastawizaat, mukhtalif afraad se taaluq rakhnay walay 40 passport, 6000 rupay naqd raqam aur mobile phone zabt karliye hain. police ne ek bayan mein kaha qabil etemad zaraye se ittila masool honay ke baad SOT ne mulzimon ki shanakht Sheikh Mohammad imtiaz, noon sabbhima, gandugla rayudu, aur Mohammad Haroon ke tor par ki hai aur un sab ko al hayaat tours aur travels office se girftar kya. mazeed teen mulzimaan syed, Naseer aur summaia fatima ta haal mafroor hain.

Girftar afraad Sheikh qadar bee Nami khatoon ko working visa ke bajaye visit visa par dhoka dahi se masqat bhejnay ki koshish kar rahay thay aur ghair qanooni insani smuggling mein mulawis paye gaye. Qadar bee medpally ki rehaishi hain. woh 7 feb ko muscat ke liye apni parwaaz mein sawaar honay wali theen, lekin mulzim afraad ke ghair mamooli sulooq ko dekhte hue woh tay shuda parwaaz mein sawaar honay ke bajaye airport se faraar hogai. police ne mazeed kaha ke Mohammad , sibbhima, raydudu aur syed imigration ya afradi qowat ki bharti karne wali agencio jaisay al hayaat tours aur travels ki taraf se agent ke tor par kaam kar rahay thay. Haroon travel company ka daftar incharge hai jaisay police ne girftar kiya hai.

Sibima ne oman ke shehar qatar aur mascut mein gharelo mulazma ke tour par kaam kya tha jis ki wajah se woh qatar, oman , kuwait aur muscat jaisay maqamat par afradi qowat ki bharti karne wali kuch agencio se achi tarhan waaqif thi aur arabi behtar bolnay ki wajah se woh is kaam ko bakhoobi anjaam day rahi thi. is team ne apne rabton ko istemaal karkay visit visay ke bajaye work visay par jaali andaaz mein logon ko khaleej bhejnay ka dhoka shuru kya.

Mulzim afraad beron mulk muqeem gharelo mein apne dafatir chalate hain. oman , bahrain, kuwait, qatar, Saudi arab, aur mutahidda arab amarat jaisay khaleeji mumalik mein woh arab Sheikh ko matlooba gharelo mulazma faraham karte hain. mulazimaton ki talaash mein khawateen un jaghon par jati theen jo aajron aur bharti karne walon ke haqeeqi iraadon ke baray mein maloomat fraham nahi karte aur unke aajron ne ghair insani halaat mein ghulam ki hesiyat se istehsal kiya. kuch aajron par yeh bhi ilzaam lagaya jata hai ke woh khawateen ka jinsi istehsal karte hain. police ne kaha hai ke mafroor afraad ki giraftari ke liye mazeed koshishen jari hain.