Makkah Mukramah. Makkah Mukramah mein taiz o tund hawa ne Kabatullah ke Kiswa is terha udney laga ke Kabatullah ki diwaren andar se jhanknay lagen. Social Media par tasaveer aur videos gasht karne lagen jin mein yeh nzarah dikhaya gaya ke taiz o tund hawaon ne Kabatullah ko dhaankne wala ghilaaf udney laga jis ki wajah se andar se Kabatullah ki diwaaren nazar anay lagien. Ghilaaf Kabah jisay ‘Kiswa’ kaha jata hai ke khalis resham se tayyar kya jata hai aur is par talai dhagon se Quran Majeed ki ayaat se sajaya jata hai. har saal Yaum e Arfa ke mauqa par Kiswa ko tabdeel kya jata hai, aur is din Masjid e Haram taqreeban khaali hoti hai chunkay isi din tamam Hujjaj karaam mnasik Hajj ki adai ke hissa ke taur par Maidan e Arfat mein jama ho jatay hain. Kiswa ke apni jagah se hatt jaany ke baad aur hawaon ki raftaar mein jon hi kami aayi workers ne fori Kiswa ko apni jagah par le aaya. Kal ghilaaf e Kabah ko tabdeel kardiya jaye ga. Arfat se mausula it-tila-aat ke mutabiq itwaar ki shaam ko jald pahonch jaany walay Hujjaj karaam ka Arfat mein taiz hawaon aur barish ne istaqbaal kya. Aadhay ghanta tak yeh silsila jari raha aur phir sab kuch jon ka ton waisay hi hogaya.
#مكة_المكرمة
اللهم احفظ مكة وأهلها وحجاج بيتك الحرام pic.twitter.com/7ZSIByQuZm— ⓜⓐⓝⓢⓘ (@mansi1973) August 19, 2018
رياح قوية وأمطار في #مكة_المكرمة pic.twitter.com/GkQY7g847d
— فهد البطي (@fbati91) August 19, 2018