Tuesday, May 13, 2025
HomeLatest NewsMakaan Ki Taamer Ke Ijazat Naamoun Ke Liye Online Self Certification Muta-Arif

Makaan Ki Taamer Ke Ijazat Naamoun Ke Liye Online Self Certification Muta-Arif

Hyderabad : Imaartoun ki taamer aur araziyat mein honay wali bad unwaniyoun ko khatam karne ke liye riyasat-e-telangana ki hukoomat ne assembly mein ek naya qanoon muta-arif kiya hai jis se telangana Muncipality bill 2019 ka naam diya gaya hai. is bil ke tehat ab building ki taamer ke liye online self certification haasil kiya ja sakta hai.

Is naye bill ki munfarid khasiyat yeh hai ke koi bhi shakhs building ki taamer ke liye ijazat nama online self certification ke zariye haasil kar sakta hai, isi tarhan TSI paas system ke zariye industrial manzoori naame bhi haasil kiye jasakte hain. is ke alawa reyasti hukoomat ek le out approval committee har zila mein tashkeel di gayi jis ki qayadat zila collector karenge.

Is committee ke tehat tamam khuli arazyat, play ground, common parks aur deegar arazyat ko lay outs ke tehat shaamil kiya jaye ga. is ke alawa 75 murabba matters ki arazyat par do manzila imarat ki taamer ke liye ijazat naame ki zaroorat nahi hogi. darkhwast guzaar ko ek rupiya fees ada karte hue online register karwana hoga.

Yahan is haqeeqat ko wazeh karne ki bhi zaroorat hai ke jo plot 75 murabba meter se se bada hoga usay munqasim karte hue mazkoorah is sahoolat se istifaday ki ijazat nahi di jayegi. 75 taa 500 murabba meter araazi par makaan ki imarat jis ki oonchai 10 meter ho usay online self certification ke zariye taamer ki ijazat di jayegi jabkay jo imarat 500 murabba meter aur das meter bulandi se ziyada ki hogi is ke liye ijazat nama single windows system ke zariye online mood ke tareeqa car ke zareya faraham kiya jayega.

Isi tarhan deegar arziat par Imaratein taamer karne ke liye mukhtalif tareeqa car bhi muta-arif kiye gay hain jis mein khaas karkay parking ke mamlaat par bhi khaas tavajja di gayi hai kyunkay shehar mein aksar dekha gaya hai ke imaartoun ki taamer ke waqt parking ka sahih nazam nahi rakha jata hai un parking ke masail ko bhi hal karne ke liye naye tareeqa car mein kuch sharait shaamil ki gayi hain. –YTN STAFF