Monday, May 20, 2024
HomeIndiaMajlis Vanchit Bahujan Aghadi Ittehaad Se Maharashtra Mein Bjp Ko Faida

Majlis Vanchit Bahujan Aghadi Ittehaad Se Maharashtra Mein Bjp Ko Faida

Mumbai : Lok sabha intikhabaat mein oppostion jamaaton ka ek hi maqsad tha ke BJP ko hukoomat se bedakhal karna aur Narendra Modi ko Iqtidaar ki kursi se neechay utarna jis ke liye mukhtalif reyaston mein mukhtalif jamaaton ne siyasi ittehaad banaya lekin unki hikmat-e-amli mein kayi aisi khamiyan thi jis ka raast faida BJP aur iski Haleef jamaaton ko hua. Muslim aur Dalit ittehaad ko ahmiyat di gayi thi lekin maharashra mein yeh hi muslim Dalit ittehaad ki koshish ne unke voton ko hi taqseem kardiya aur uska raast faida BJP ko hua hai.

Riyasat Maharashtra mein Vanchit Bahujan Aghadi ke umeedwaron ne NDA umeedwaron ko khoob faida pohanchaya hai aur Vanchit Bahujan Aghadi ke umeed waar vote katwa saabit hue hain jis ke sabab maharashra mein BJP aur Shiva sena  ko zabardast kamyabi haasil hui hai. March 2018 mein qaim ki gayi Vanchit Bahujan Aghadi Nami siyasi jamaat aur majlis ne riyasat maharashra ki 48 nishiston par intikhabaat lada jis mein sirf Aurangabad halqa lok sabha se majlis aur Vanchit Bahujan Aghadi ke mushtarqa umeed waar Imtiaz jaleeel ko kamyabi haasil hui jabkay party qaim karne walay prkash ambedkar jinhon ne do nishiston se muqaabla kiya tha dono se nakaam hogaye.

Vanchit Bahujan Aghadi ke naam se shuru ki gayi is se isi jamaat se majlis ke alawa Maharashtra  ki zayed 100 az daliton aur pasmandah tabqaat ki tanzeemon ne taied ka elaan kiya tha aur ab jab intikhabi nataij samnay aeye hain is se yeh andaza ho raha hai ke Vanchit Bahujan Aghadi ne Dalit aur majlis ne muslim voton ko munqasim kardiya hai jis ke nateeja mein maharashtra mein BJP aur shiv sena ittehaad ko ghair mamooli kamyabi hui hai. riyasat maharashtra mein lok sabha ki jumla nishiston par Vanchit Bahujan Aghadi aur majlis ke ittehaad ne 40 laakh 13 hazaar vote haasil kiye lekin ittehaad ko sirf ek nishist par kamyabi haasil hui hai .

Mashhoor angrezi akhbar ne apne tajzia se saabit kardiya ke aur is ne maharashtra intikhabaat ke douran aisi 9 nishiston ki nishandahi ki jahan secular umeedwaroun  ki kamyabi yakeeni thi agar Vanchit Bahujan Aghadi ke umeed waar nahi hotay to inhen kamyabi haasil hosakti thi aur zafrani siyasi jamaaton ke umeedwar  ko shikast ka saamna karna padsakta tha. sabiq chief minister Sushil kumar shinde ko unke halqa lok sabha Sholapur se ek laakh 56 hazar votoun se BJP ke umeed waar ne shikast di jahan Vanchit Bahujan Aghadi ke umeed waar ne 1 laakh 68 hazaar 694 vote haasil karliye isi tarhan halqa lok sabha perbhani se hyderabad se talluq rakhnay walay Vanchit Bahujan Aghadi ke umeed waar ne an SP umeed waar raje shevetker ki shikast ki raah hamwar ki jahan 42 hazaar 189 se inhen shikast hui aur Vanchit Bahujan Aghadi ne 1 laakh se zayed vote haasil karliye .

Bataya jata hai ke Aghadi  majlis ittehaad ne sirf Aurangabad ki nishist per kamyabi haasil ki lekin maharashtra mein Nandedt Osmanabad aur perbhani Vidarbha mein Akola aur اکولا aur Gadcharoli  , maghribi maharashtra mein Sholapur , aur deegar nishiston par NCP aur congress ittehaad ke umeedwaron ko nuqsaan pohanchaya hai. maharashtra lok sabha intikhabaat ke douran jo sorat e haal paeda hui thi is waqt hi yeh kaha ja rhatha ke riyasat maharashtra mein jahan daliton ki badi tadaad barsar Iqtidaar BJP se naraaz hai aur musalman BJP ko vote hi nahi dete to aesi soorat mein un voton ki taqseem ko kis tarhan yakeeni banaya jaye aur is maqsad ke liye jo mansoobah bandi ki gayi is ke barsar iqtedar zafrani jamaaton ke haq mein behtareen nataij bar aamad hue hain aur mulk ki parliment mein dakhla se secular siyasi jamaaton ke umeedwaron ko roknay mein inhen kamyabi haasil hochuki hai .

Gadcharoli halqa lok sabha mein congress umeed waar ko BJP ke umeed waar ne 76 hazaar 694 voton se shikast di hai jabkay is halqa se Vanchit Bahujan Aghadi ke umeed waar ne 1 laakh se zayed vote haasil kiye hain jis se is baat ka andaza hota hai ke secular voton ki taqseem kis terhan se ki gayi hai aur kis munazzam tareeqa se muslim aur Dalit voton ko bhi ghair ahem kardiya gaya. –YTN STAFF