Monday, June 9, 2025
HomeHyderabadMajlis 2 mah ke andar TRS hukoomat khatam karsakti hai

Majlis 2 mah ke andar TRS hukoomat khatam karsakti hai

Hyderabad: GHMC intikhabaat ki tareekh jaisay jaisay nazdeek aarahi hai waisay waisay siyasi leadron ke bayanaat aur awam ko be-waqoof bananay ke hurbe urooj par pahonch rahay hain aur hyderabadi party Majlis ke MLA ne apne Hyderabadi andaaz mein keh diya hai ke unki jamaat 2 mah ke andar TRS hukoomat ko khatam kar sakti hai.

Intikhabaat ke qareeb aanay ke sath hi TRS aur AIMIM dostana ladhaiyon mein izafah horaha hai. Is douran AIMIM ke rukan qanoon saaz Mumtaz Ahmed Khan ne yeh kehte naye tanaza ko hawa di hai ke agar unki party chahay to KCR hukoomat ko 2 mah ke andar mazool kar sakti hai. IT wazeer KTR ko tota qarar dete hue mumtaz khan ne unka mazaaq udaya.

KTR ke taaluq se unhon ne kaha ke KTR ne 3-4 din pehlay siyasat mein aankhen kholeen hain jabkay AIMIM ne KTR jaisay kayi qaideen ko dekha hai.

Doosri janib AIMIM ke sarbarah Asaduddin Owaisi ne guzishta roz wazeh kiya ke unki jamaat 1st decemeber ke greater hyderabad municipal corporation ( GHMC ) intikhabaat mein KCR ki zair-e-qayadat TRS ke sath ittehaad nahi karegi. GHMC intikhabaat mein apni party ke imkanaat par media se guftagu karte hue owaisi ne kaha party rehnumao aur kaarkunon ne awam ke liye kaam kiya hai aur umeed hai ke isse unki party ke rehnumao ko intikhabaat mein kamyabi haasil karne mein madad mileygi. AIMIM party ke rehnuma saal bhar sargaram rehtay hain, unhon ne daawa karne ke alawa ilzaam lagaya ke baqi baqi partiyan jaisay congress aur BJP sirf intikhabaat ke dinon mein kaam karti hain.

GHMC intikhabaat ke liye muhim taiz honay ke sath hi, TRS ki dost jamaat AIMIM ne ishara diya ke GHMC intikhabaat se mutaliq dono jamaaton ke mabain taluqaat nahi hain. taham intikhabi muhim ke douran oppostion jamaaton ( BJP aur congress ) ne daawa kiya hai ke TRS aur iski dostana AIMIM party mushtarqa tor par GHMC intikhabaat mein hissa lerahi hai aur agar log TRS ko vote dete hain to, mayor ka ohda AIMIM ko jayega yahan tak ke TRS ke working sadar KTR ne pehlay wazeh kiya hai ke intikhabaat ke liye AIMIM ke sath koi ittehaad nahi hai.