Sunday, May 5, 2024
HomeIndiaMaholiyati Aloodgi Siyasi mauzo kyun nahi

Maholiyati Aloodgi Siyasi mauzo kyun nahi

Hyderabad: Mausam e Garma ke urooj aur mah May ke aaghaz ke sath hi garmi ki shiddat mein be tahasha izafah hogaya hai lekin Hindustan mein ab jabkay intekhabaat ka mahol hai lehaza is garma garam siyasi mahol mein aakhir siyasi qayedeen ney maholiyaat ko apni siyasi muhim aur jalson ka mauzo kyun nahi banaya hai?

Adaad o Shumaar aur hisabaat yeh zahir karte hain ke maholiyati Aloodgi se Hindustan kaafi pareshan Mumalik ki fehrist mein shaamil hai, Shayad mausam e garmi ki shiddat aur fazai Aloodgi Hindustani aabb o huwa ko shadeed nuqsaan pouncha rahay hain jis se insani aaza par intahi bura asar padh raha hai aur awam pehphron ke amraaz agar pehphron ka Cancer kaha jaye to zulm nahi hoga, is mein mubtala honay ke ilawa jildi amraaz, aankhon ki takaleef, naak ke amraaz aur Heart Attack jaisay jaan lewa bimariyon mein mubtela ho rahay hain.

Maholiyaati Aloodgi ensaan ke taqreeban har aaza ko amraaz ki lappet mein le rahi hai. Fazai aloodgi, aabi aloodgi aur sooti aloodgi is waqt duniya bhar ke liye baday challenges ban chuke hain aur un challenges se duniya ke jeetnay bhi Mumalik mutasir ho rahay hain is fehrist mein Hindustan bhi ounchay maqam par mojood hai.

Siyasi Leadron ki janib se Hindustan ke Parliament intekhabaat mein hub al-watni, Pakistan dehshat gardi, gowkashi, Wande Matram, Mulk ki taraqqi, rozgaar ke mawaqay, Kisanon ke masail, bank khaton mein raqomat jama karne ke waday, pasmandah tabqaat ke liye tahaffuzaat, Kashmir ke masail, Talaq salasa, khawateen ke huqooq, Ram Mandir, Hindu Rashtriya, Rafael saudey baazi, Chokidaar Chor hai aur najaney kitney mozuaat par behas o mobahisa ho rahay hain lekin kisi bhi jalsa ya rally  mein kisi bhi jamaat ki janib se Hindustan ke maholiyaati ke masail par koi tabsarah nahi kiya ja raha hai halaanke is waqt duniya bhar ke beshtar Mumalik maholiyati aloodgi se pareshan hai.

Maholiyati aloodgi is waqt poori duniya ke liye sab se bada khatrah tasawwur kiya jarah hai agarchay is aloodgi ki rok thaam ke liye iqdamaat bhi kiye jarahay hain, lekin aloodgi ka masla jis qader sangeen hai is aitbaar se iqdamaat nahi kiye jarahay hain jis ki wajah se har saal 70 lakh afraad jaan ki baazi haar jatay hain. Maholiyaati shobay ke mahireen ke bamoujib fazai aloodgi se kurrah aarz par basnay wali 90 feesad abadi mutasir hoti hai.

Aalmi idaray sahet (WHO) ki aik haliya report mein zahir kiya gaya hai fiza mein mojood zahriley keemiyai ajzaa phephdon  ke Cancer ki aik badi wajah ban rahay hain is ke ilawa aaloda hawa mein saans lainay se strokes aur amraaz qalb ke waqhiyat mein bhi izafah hogaya hai. Yeh hi wajah hai ke maazi qareeb mein audhair umar ya umar raseedah afraad ke mutaliq heart attack ki khabrain sunai deti theen lekin aaj noujawanon ko bhi heart attack ki wajah se dawakhanon mai shareek karne ki khabrain aeye din suneney aur padhnay mein aa rahi hain.

(WHO) ki report mein kaha gaya hai ke har 10 mein se 9 afraad khatarnaak keemiyai ajzaa ki buland tareen satah rakhnay walay mahol mein saans le rahay hain. Maholiyati aloodgi se honay wali 90 feesad amwaat Asia aur Africa ke un Mumalik mein record ki jati hain jahan awam ki aamdani kam ya Mutwast darja ki hai. Aalmi idaron ki janib se chaar hazaar se ziyada qasbon aur 108 Mumalik mein adaad o shumaar jama kiye gay jis mein dakhli aur bairooni dono terha ke maholiyati mayarko pemana banaya ga tha.

Maholiyati aloodgi se mutasir honay walay 3 arab afraad mein ziyada tadaad khawateen aur bachon ki hai. Aalmi idaara sahet ke mutabiq 42 laakh afraad ghar ke bahar ke mahol aaloda honay ki wajah se halaak huwe hain jabkay is ke bar aks gharon ke andar peda honay wali maholiyati aloodgi se 38 lakh afraad ki mout waqay huwi hai. Maholiyati aloodgi ki wajah ban’nay walay awam mein Auto Mobile, Koda kirkit aur is ke baad usay lagai jaany wali aag, Electronic Machinon ka be tahasha istemaal shaamil hain.

Maholiyati aloodgi aur is mein paye jaany walay zehriley maday dil aur pehphron ko shadeed mutasir karte hain jis se faalij, cancer aur pneumonia ke ilawa deegar jaldi aur wabai amraaz ensaan ko mout ke munh tak le jatay hain. Hindustan mein green peas global organization ney elaan kya hai ke Mulk mein aloodgi ki wajah se salana 12 lakh afraad mout ke munh mein chalay jatay hain. Narendra Modi ney 2014 mein Iqtidaar sanbhalne ke baad kaha tha ke 2019 mein un ke Iqtidaar ke khatam honay se pehlay woh Mulk mein safai ke mayar ko buland karen ge taham yeh wada bhi wafa nah ho saka. Intekhabi jalson aur rally mein maholiyati aloodgi ko woh ahmiyat nahi di gayi hai jis ka waqt mutaqazi hai.