Friday, April 19, 2024
HomeLatest NewsMahmood Ali ke mutanazia sawal par awam ke kayi aur sawalaat

Mahmood Ali ke mutanazia sawal par awam ke kayi aur sawalaat

Hyderabad: Riyasat Telangana ke dar-ul-hukoomat Hyderabad mein ek Dr ke qatal aur ijtimai ismat raizi ke muamlay mein reyasti wazeer Mahmood Ali ke mutanazia sawal par kayi sawal uth rahay hain. Telanaga riyasat ke wazeer-e-dakhla Mahmood Ali ne is muamlay par mutanazia bayan dete hue kaha ke wo ek Dr thi, wo padhi likhi thi, Is ne pehlay apni behan ko kyon phone kiya? Is ko 100 number par pehlay phone karna chahiye tha.

Mahmood Ali ke is mutanazia sawal par awam khaas kar Hyderabadi shehrioun ne kayi sawalaat ki buchar kardi hai. Social media par wazeer-e-dakhla Mahmood Ali ke mutanazia sawal par sarfeen ne jo tabadlah khayaal kiya hai is mein ek sawal sab ko be chain kar raha hai wo ye ke jaissa ke Mahmood Ali ne kaha ke mutasirah khatoon jis ne police ko phone karne ki bajaye apni behan ko kyon phone kiya? Jis par awam ka muaqqaf hai kiya awam police par bharosa karti hai? Kyun kay aksariyat ka maanna hai ke mushkil waqt ya nagehani soorat-e-haal ke mauqa par awam police se pehlay apne afraad khandan ko phone karne ko tarjeeh dete hain. Halaank Dr ke is muamlay bhi agar mutasirah khatoon behan ke sath police ka number 100 dail karti to Petrolling par mojood qareebi gaadi khatoon ko behan se pehlay madad faraham kar sakti thi aur shayad is waqea ki soorat-e-haal is waqt kuch aur hoti .

Sab hi is baat se ittafaq karte hain ke khatoon ko behan aur afraad khandan se pehlay police ki madad mil sakti thi lekin shayad police hanooz awam ka aetmaad ko is had tak haasil karne mein nakaam hai jahan loog museebat aur pareshani ke mauqa par afraad khandan se pehlay police ko phone karne ko tarjeeh den. Dosra sawal ye tha ke hukoomat ki janib se jo buland wa baneg dawaye khawateen ki hifazat ke mutaliq kiye jatay hain wo haqiqit mein kiya hain ke raat ke waqt safar karne wali khawateen mehfooz hain? Jabkay ek alla taleem yafta khatoon ka ye hasher huwa hai to phir muzafati ilaaqoin mein mehnat mazdoori karne wali ghareeb khawateen ke sath kiya maamla pesh aasakta hai wo bhi qabil ghhor hai. Ek aur sawal ye bhi peda honay laga hai ke ju khawateen kisi pesha se wabasta hain aur inhen ratoun mein majboori ke tehat safar karna padta hai to inhen nagehani aur hungami halaat se nimatnay mein hukoomat aur police ki janib se faraham ki jaaney wali madad aur sahuliyaat ke zimn mein shaoor baydaari kyun peda nahi ki jati? Awam ke paas aur kayi sawalaat hain jin ke shayad police aur hukoomat ke paas koi jawabaat nahi hain.

Yaad rahay ke Shaadnagar qasbay mein jumaraat ki raat ek nojawan vaterinary Dr. ku namaluum afraad ne qatal kardiya, Jabkay is ki jali hui laash mili. Ranga Reddy zila ke Shaadnagar qasbay ke qareeb Chatanpally se Priyanka Reddy nami khatoon Dr ki laash mili

Priyanka Reddy ju ek vaterinary hospital mein khidmaat nibhanay Gullur janey ke liye Shaadnagar mein waqay apne ghar se niklee thi, Is ne charshumbe ki shab apni behan ko phone kiya aur kaha ke ghar wapas atay hue is ki two wheeler gaadi Puncher hogayi hai. Is ne apni behan se kaha ke wo khaufzadah hai aur kisi ko is ki madad karne aur gadhi ki murammat karne ki peshkash ki hai. Baad mein jab is ke afraad khandan ne Priyanka se rabita karne ki koshish ki to is ka mobile phone band tha. Police ne kaha ke poll ke qareeb se ek 20-25 sala khatoon ki laash mili hai. Sridhar Reddy ne laash ko dekh kar apni beti Priyanka ke tor par shanakht ki. Senior police ohdedar mauqa wardath par poanch gaye aur tafteesh ka aaghaz kiya.

Is se qabal rawan mah ke shuru mein isi zila mein ek aur bhayanak haadsay mein 1 shakhs ne apne daftar ke andar ek khatoon Ravenue ohdedar ko zindah jala diya tha, Lekin is amal mein wo khud bhi jal kar zakhmi ho gaya tha. Ye chonka dainay wala haadsa Hyderabad ke muzafati ilaqay mein Ranga Reddy zila ke Abdullahpormet tehseel office mein pesh aaya tha. –YTN STAFF