Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaMahengai Modi ko mahengi pade gi: Baba Ramdev

Mahengai Modi ko mahengi pade gi: Baba Ramdev

Guzishta intikhabaat mein Narendra Modi ko Wazeer e Azam ke taur par paish karte hue BJP ko Iqtidaar mein laane mein Mulk geer satah par muhim chalanay walon mein aik bada aur ahem naam Ramdev Baba ka hai jinhon ney mantaqi aur falsfiyana andaaz ikhtiyar karte hue un azhaan ko bhi badalne mein ahem kirdaar ada kya tha jo mazhabi bughz aur firqa parastana afkaar se pak thae. Aam shaherion ki zindagion mein aik inqalabi tabdeeli ka khawab dikha kar Baba Ramdev jaisay logon ney nai nasal ko BJP ka hamnava banadiya tha. Naujawanon ko rozgaar ki farahmi, kalay dhun ki wapsi, ashya e zaroriah ki qeematon mein be tahasha izafah ke sath sath Ayodhya mein Ram Mandir ki taameer, Jammu & Kashmir ke khusoosi mauaqqaf ko khatam karne Dastoor mein tarmeem, Common Civil Code ka nifaaz jaisay waday karte hue Mulk ke voters ko raghib kya gaya tha magar jab bhaari aksariyat se BJP hukoomat mein aayi aur Narendra Modi Wazeer e Azam ban gaye to jo-jo waday kiye gaye to un ke barkhilaf kaam kya gaya. Mulk ki jo sorat e haal thi iss ko mazeed ab-tar kardiya gaya. Guzishta intikhabaat mein Narendra Modi ke gun ganay walay aur un ka purzor difaa karne walay ab un kanam lainay se bhi katraane lagey hain. shaed Ramdev Baba jaise logon ka bhi zameer unhen andar se malamat kar raha hai magar un mein itni jurraat nahi hai ke jis shiddat se woh Modi ki tayeed kiye thae ab itni hi shiddat se un ki mukhalifat kare .
Ramdev Baba ney ND Tv ke Youth Conclave mein aaj hissa letay hue kuch baatein ki hain jis se yeh saaf zaahir hota hai ke woh bhi Narendra Modi se mayoos ho chukay hain. BJP ke kattar haami rahne walay Ramdev Baba ney aisa lagta hai ke woh Modi se doori ikhtiyar karne ka ye rasta nikaal liye hain ke siyasat se hi doori ikhtiyar karli jaye. Un se jab yeh poocha gaya ke aaya woh aayindah Lok Sabha intikhabaat mein BJP ke liye muhim chalayein ge? Toh unhon ney kaha ”mein kayun karoon ga? Mein un ke liye muhim nahi chlaon ga. Mein siyasat se dastbardar ho chuka hon. Mein tamam parties ke sath hon aur mein azad hon.” Ramdev ney kaha ke woh ghair janibdaar hain na hi dayen bazu ke aur na hi bayen baazu ke. Kisi ko bhi un par ungli nahi uthani chahiye chunkay woh kayi ahem umoor mein ”Moun Yoga” ikhtiyar kiye hue hain. Unhon ney kaha ke aajkal woh kisi ko nahi chaid rahay hain magar koi unhen cheday ga to woh unhen choden ge bhi nahi. Unhon ney kaha ke Wazeer e Azam Narendra Modi par tanqeed karna awam ka buneyadi haq hai. Taham unhon ney kaha ke Wazeer e Azam Modi ney achay kaam kiye hain jaisay Swach Bharat aur koi bada scam honay nahi diya. Iss ke bawajood woh yeh kehnay se chup nahi reh sakay ke Raffal deals par sawalaat uthaye jarahay hain. Ramdev Baba ney kaha ke Modi hukoomat ki policies qabil e tareef hain lekin ab un mein se kuch mein islaah ki zaroorat hai. Qeematon mein izafah bada masla hai aur Modi ji ko jald hi islahi iqdamaat karna hoga, iss mein nakami ki soorat mein ‘mehengai ki aag toh Modi sarkar ko bahut mehngai pade gi’ Yoga guru o baani Patanjali Ayurved ney yeh bhi id-daa kya ke woh petrol aur diesel ko 40-35 rupay per litre farokht kar saktay hain agar hukoomat ijazat dae. Agar hukoomat mujhe ijazat deti hai aur tax mein kuch riayat deti hai to mein Hindustan mein petrol, diesel 40-35 rupay per litre dae sakta hoon. Eendhan ko GST ke tahet khareedna hoga na ke 28% tax laago kiya jaye. Unhon ney kaha ke agar hukoomat chahay to petrol aur diesel ki qeematein itni oonchai tak nahi pahonch sakteen aur un mein kami ki ja sakti hai. Ramdev Baba ney kaha ke mahengai Narendra Modi hukoomat ke liye bahut mahengi saabit hogi .