Monday, April 21, 2025
HomeSliderMahendra Singh Dhoni ko number 7 ki khush fehmi se baher niklana...

Mahendra Singh Dhoni ko number 7 ki khush fehmi se baher niklana hoga

Hyderabad: Indian Premier League ( IPL ) ko Cricket ki duniya mein wahein maqboliat haasil hai jo kay Football mein Champions League ko haasil hai aur sath hi shayad Mahendra Singh Dhoni ki zair qayadat Chennai Super Kings ko IPL ki sab se maqbool tareen team ka aizaz bhi haasil hai jis ki ahem wajah khud Dhoni hain jis ke baad is team ka mutadid martaba khitabat haasil karna aur team mein kayi star khiladion ka mojood hona hai.

Coronavirus ki wajah se is martaba IPL ka 13 we Addition Mutahidda Arab Emarat ke 3 shehron Abu Dhabi, Dubai aur Sharjah mein khela ja raha hai aur husn ittafaq se is ka iftitahi muqaabla 2019 ki Finalist teams Chennai Super Kings aur Mumbai Indians ke darmiyan huwa aur nateeja bhi sabiq jaisa hi raha aur Mumbai ke khilaaf Chennai ko shikast bardasht karni padi.

Mumbai ke khilaaf pehlay muqablay mein shikast ke baad yeh mana ja raha tha ke shayad Dhoni team ke khamion par qaboo panay ke ilawa apne batting Order ku bhi tabdeel karen ge lekin aisa nahi huwa hai aur Dhoni apne pasandeda ”Number 7 “ se chimtay rahay. Mumbai Indians ke khilaaf jis waqt team 217 runs ka himaliyai score ka taqub kar rahi thi is waqt Dhoni apne Lucky number 7 par hi batting ki aur jis waqt woh number 7 par batting ke liye maidan par utre is waqt tak muqaabla taqreeban team ke haath se nikal chuka tha. Is muqablay mein shikast ke baad Dhoni par charon gooshon se tanqeed hui aur umeed ki jarahi thi ke Dehli Capitals ke khilaaf woh nishana ke taqub mein 2011 world cup ki terhan nah sirf oopar batting ke liye ayen ge balkay team ko apni taiz raftaar batting se kamyabi bhi delwayin ge lekin shaiqeen ko phir mayoosi hui. Jab opener Shine Watson aur Murali Vijay team ko taiz raftaar shuruvaat faraham nahi karpaye to Dhoni ki jald aamad ki tawaqqa badh chuki thi lekin un halaat mein Dhoni apne isi 7 number se chupkay rahay.

Dhoni ne maazi mein hindustani team ke liye number 7 par kayi yadgar Inning kheli hain lekin shaiqeen ko yeh achi terhan yaad hai ke maazi Hindustani team ke liye Sachin Tendulkar, Virender Sehwag, Gautam Gambhir, Rahul Dravid, Yuvraj Singh, Suresh Raina, Harbhajan Singh aur aisay kayi baday aur star khiladion ki khidmaat dastyab theen jabkay Chennai Super Kings ke liye Dhoni ke liye number 7 se pehlay kayi ek naamwar khiladion ka sath dastyab tha lekin ab rawan Tournament mein halaat yaksar mukhtalif hain kyunkay opener Shane Watson aur Murli Vijay kuch kar nahi par hai hain to doosri janib Suresh Raina ki khidmaat team ko dastyab nahi. Is ke ilawa nojawan khiladion mein koi khaas dam dekhayee nahi day raha hai aur Top order par sirf Faf du Plessis hi wahid umeed nazar arhay hain lehaza halaat mutaqazi hain ke Dhoni ko number 7 ki khush fehmi se baher niklana hoga aur Top order par team ke liye misali muzahirey karne hon ge.

Az: Azifha Arqam