Thursday, May 16, 2024
HomeIndiaMahendra Singh Dhoni ke bain ul aqwami cricket mein 15 saal mukammal

Mahendra Singh Dhoni ke bain ul aqwami cricket mein 15 saal mukammal

New Delhi:  Hindustani Cricket Team ko 2 martaba World Cup jetwane walay team ke sabiq captain Mahendra Singh Dhoni ne bain-ul-aqwami cricket mein 15 saal mukammal karliye hain. Ranchi se talluq rakhne walay Jarehana wicket keeper Batsman Dhoni ne Ganguly ki qayadat mein Bangladesh ke khilaaf apne bain-ul-aqwami career ka aaghaz 2004 kiya tha. jis ke baad se wo hindustani team ke tamam tarz ki cricket mein ahem khiladi ban gaye aur in ke naam 17,266 runs darj hain. 38 sala wicket keeper batsman Dhoni ne hindustan ke liye 350 Oneday, 90 test aur 98 T20 muqabloun mein hissa liya hai.

Dhoni ka 15 sala shandaar career kayi ek sang mil par muheet hai jaissa ke unhoun ne 2011World Cup ke final mein chakka lagatay hue hindustan ko 50 Overs ki cricket mein doosri martaba aalmi Champion baneya tha. Dhoni ki qayadat mein hindustani cricket team mehdood Overs ki cricket mein ek taaqatwar team ke tor par uُbhri hai jis ne 2007 mai iftitahi Twenty 20 world cup haasil kiya jis ke final mein hindustani team ne sansani khaiz muqaabla ke baad Pakistan ko shikast di thi jis ke baad 2011 mai Oneday world cup bhi hindustan mein Dhoni ki qayadat mein hi apne naam kiya tha.

Is ke ilawa 2013 mai jis waqt hindustani team Champion Traphy apne naam ki uss waqt bhi Dhoni hi team ke captain they. Ilawa azeen ICC ke Test aur Oneday ki darjah bandi mein bhi hindustani team ne pehla maqam haasil kiya. Is ke ilawa IPL mein Chinnai Super Kings ke liye unhoun ne 3 khetabat haasil kiye hain. July mein England mein munaqidah World Cup ke baad se Dhoni hindustani team se bahar hain lekin aindah baras Australia mein munaqqid Sydney world cup mein shaiqeen ki nazrain Dhoni par markooz rahen gi. –YTN STAFF