Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaMaharashtra may Shiv Sena hukoomat,Uddhav Thackeray Chief Minister

Maharashtra may Shiv Sena hukoomat,Uddhav Thackeray Chief Minister

Mumbai: Maharashtra may Shiv Sena ki qayadat may nayi hukoomat tashkeel dainay ke formola ko hatmi shakal day di gayi hai jis ka jaldhi elaan kiya jaye ga jis ke tehat Shiv Sena sarbarah Uddav Thackeray 5 saal ke liye Maharashtra ke cheif Minister banaye jayen ge. ek Angrezi roznama ki Report ke mutabiq Congress aur NCP ki himayat se tashkeel di jaany wali hukoomat may Congress aur NCP ke do naib wazeer-e-aala bhi honge.

Zaraye ne bataya ke agar sabhi mansoobah bandi ke mutabiq chalta hai to nai tashkeel may do naib chief Miniter honge jin ka taaluq NCP aur Congress se hoga, halaank NCP ke sarbarah Sharad Pawar ne israr kiya hai ke unhoun ne guzashta ruz Congress ke sadar Sonia Gandhi se mulaqaat ke douran Maharashtra may hukoomat saazi par tabadlah khayaal nahi kiya jabkay zaraye ne akhbar ko bataya ke riyasat ka charge sanbhalne ke liye 3 parties ke ittehaad ke liye earzi tor par ek samjhota tey huwa hai. aglay mah ke shuru may Shiv Sena ke sarbarah Uddhav Thackeray ke sath hukoomat tashkeel di jaye gi.

Zaraye ne mazeed kaha hai ke agar sabhi mansoobah bandi ke mutabiq chalta hai to nai tashkeel may 2 Deputy Chief Minister honge 1 NCP aur 1 Congress se hoga. wo ye bhi wazeh kiya gaya hai ke Uddhav Tackeray 5 sala muddat ke liye Chief Minister honge, jis may is Uddhav ke liye koi gardish ki Policy nahi hai. zaraye ne bataya ke is intizam ke tehat 42 wizarat ko nai Assembly may tenuu jamaatoun ki taaqat ke mutabiq taqseem kiya jayega. Assembly ke 288 rukni ewaan may Shiv Sena  56 nashistain hain is ke baad NCP  ( 54 ) aur Congress ki ( 44 ) nashistain hain. is tarteeb may qalamdaan ki bal tarteeb 15, 14 aur 13 taqseem hosakti hai. ittila ke mutabiq Decemeber ke pehlay hafta may hukoomat ki tashkeel mumkin hai. -YTN STAFF