Friday, May 17, 2024
HomeLatest NewsMaharashtra ki siyasat ka Telangana mein assar, muqami Congressi arkaan masroor

Maharashtra ki siyasat ka Telangana mein assar, muqami Congressi arkaan masroor

Hyderabadi musalmanoon mein umeed ki ek nai kiran: General secretary Mohammad Fasih
Hyderabad: Congress ka dayen baazu ki hindutwa jamaat shive Sena ke sath ittehaad aur Maharashtra mein hukoomat saazi ne Telangana congress unit mein misbet rad-e-amal zahir kiya hai kyun kay muqami qaideen ka khayaal hai ke ye na guzeer halaat mein kiya gaya faisla hai. Telangana party rehnumao ko lagta hai ke congress ne BJP ko hukoomat se daur rakhnay ke liye shive sena ke sath ittehaad kiya hai. BJP ko sabaq sikahnay ke liye congress ke liye Shive Sena ke sath ittihadi hukoomat banana durust hai.

Telangana Pradesh Congress Committee ( TPCC ) ke sarkari tarjuman Nizaamuddin ne kaha ke maharashra mein congress ka shive sena ke sath ittehaad ka faisla na guzeer halaat mein kiya gaya hai. Unhoun ne kaha ke congress ne Sena aur NCP se ittehaad kiya kyun kay inhen Assembly mein aksariyat haasil hai. Maharashtra ke governor ne BJP ko hukoomat bananay ka mauqa day kar ghair ikhlaqi faisla kiya halaank is ke paas aksariyat nahi thi. Unhoun ne kaha ke congress ne awam ki khidmat ke liye Sena ke sath ittehaad kiya hai. Jab se congress aur Shive Sena ke sath ittehaad mein Nationalist Congress Party ne Maharashtra mein hukoomat bananay ka iqdaam uthaya hai tab se Telangana congress mein kaafi charcha huwa hai.

Reyasti unit ke mutadid rehnumao ne mehsoos kiya ke chunkay Telangana ek firqa waranah hassas riyasat hai aur riyasat mein congress firqa waranah quwatoon se lad rahi hai is liye Shive Sena se ittehaad karne se is ki secular shanakht ko nuqsaan puhanche ga. Party rehnumao ne herat ka izhaar kiya ke congress jo ek Secular tanzeem hai wo kis terhan shive sena ki haleef jamaat hosakti hai kyun kay shive sena ka Hinddutwa bunyadi agenda hai.

Maharashtra ke siyasi bohraan, badalty halaat aur ibtadayee pesh qayaseyoun ke douran Telangana ke mutadid muqami rehnumao ne kaha tha ke congress ke liye shive sena ke sath ittehaad karna munasib nahi hoga. Taham Maharashra ke governor ne jis andaaz mein BJP ko hukoomat bananay ki dawat deye is ke foran baad hi Telangana ke Congressi qaideen ne apni raye tabdeel kar di. Aadhi raat ki baghaawat ke zariye hukoomat ki tashkeel ne Telangana congress ke rehnumao ki raye achanak badal kar rakh di. Ab un qaideen ka muaqqaf hai ke congress BJP ko Iqtidaar se daur rakhnay ke liye kisi se bhi ittehaad kar sakti hai jo party ko har satah par pareshan kar rahi hai.

Congress ke ek muslim rehnuma ne kaha ke Telangana ke musalman Maharashtra mein shive sena ke sath ittehaad karne mein koi aitraaz nahi karen ge kyun kay bunyadi tour par is ka Telangana ki siyasat se koi talluq nahi hai. is ke ilawa Secundraabad Cantonment ward number 2 ke congress general secretary Mohammad Fasih ( Maroof Fasih bhai ) ne media numainda se is tanazur mein izhaar khayaal karte hue kaha ke Maharashtra mai congress ka shive sena ke sath ittehaad ko dono shehroun ke musalman misbet andaaz mein qubool kar rahay hain kyun kay aqliati tabqa ke maanna hai ke is faisla se jahan ek janib BJP ko eqtedarse daur kiya gaya wahein Modi aur Amit Shah ko ghuroor ka kam karne mein bhi madad mili hai jo kay aqliton aur seculer awam ke liye umeed ki ek nai kiran hai. –YTN STAFF