Friday, May 17, 2024
HomeIndiaMaharashtra intikhabaat, shadeed garmi se mutasir honay ka khadsha

Maharashtra intikhabaat, shadeed garmi se mutasir honay ka khadsha

Mumbai : Maharashtra mein lok sabha ki 10 nishistoun ke liye jumaraat ko raye dahi hogi aur mangal ki shaam intikhabi muhim khatam hogayi hai lekin maharashtra mein shadeed garmi se jahan chand ek  amwaat hui hain aur kayi  afraad dawakhanoun mein shareek hue hain lehaza raye dahi ki sharah mein shadeed giravat ka khadsha zahir kiya ja raha hai .

Guzashta mah ke aakhri hafta se Maharashtra ke mukhtalif ilaaqoun mein mausam garma ka aaghaz honay ke sath sath garam hawaon aur lu ki wajah se 2 afraad halaak aur mutadid ko shadeed garmi se bemaar honay ke sabab dawakhana mein daakhil kiya gaya hai. garmi shiddat ki wajah se darjah-e-hararat 40 degree Celsius tak pohanch chuka hai. riyasat mein khususi tour par Bhodar ke khitta mein garam hawaon aur lu ki wajah se mutadid afraad bemaar hogaye hain aur inhen hospital daakhil kiya gaya hai .

March ke aakhri hafta aur 10 April ke darmiyan darjah hararat ausatan 38 se 44 degree Celsius record kiya gaya hai jo kay is mahinay mein kaafi ziyada hai. guzashta ek  haftay se Mumbai samait deegar ilaaqon mein garam hawae chal rahi hain sirf do roz subah vo sham Mumbai mein junoob wasti Maharashtra ke sath Kokin aur West Maharashtra mein halki barish se mausam Khushgawar hua, lekin din may garmi apne shabab par hai. Dholia mein ek  40 sala shakhs Devaram ki mout hogayi joke ek  mazdoor tha jabkay Aurangabad mein ek  80 sala khatoon lu lagne se luqmah ajal ban gayi .

Dono ko lu lagnay ki tasdeeq ki gayi hai. Nagpur, Latur,  aur Wasti khitta ke deegar azlaa aur mashriqi Maharashtra mein garmi se awam pareshan hain. un ilaaqon mein guzashta saal 538 afraad ko dawakhane mein daakhil kiya gaya tha. ziyada tar mamlata Nagpur aur atraaf mein paish aeye hain.  Nagpur may bemaar honay walon ki tadaad 67 ziyada hai jabkay Akola, aurang abad, aur Nasik mein bhi logon ko hospital daakhil kiya gaya hai .

Sakht tareen mausam mein Maharashtra ke lok sabha ki 10 nishistoun ke liye jumaraat ko raye dahi hogi. un nishistoun mein teen nashistain schedule cast ke liye makhsoos ki gayi hain. un mein Baldana, Akola, Amravati, Hangoli, Nanded, Parbhani, Beed , Osmanabad, Solapur, shaamil hain jahan BJP . Shiv sena Ittehad aur congress aur NCP mehaz ke  darmiyan raast takrav hai, jabkay maidan mein dalit muslim front ke tour par Vinchit Bahujan Agadi bhi maidan mein hai .

Un mein 2014 mein aath nishistoun par Modi lehar ke sabab BJP  aur Shiv sena ney kamyabi haasil ki thi aur do nishistoun par congress ney qabza karliya tha. vidarbha mein Baldana halqa 1999 Shiv sena ke qabzay mein jahan se mojooda rukan parliment Pratap Rao jee Jadhav maidan mein hain jabkay NCP Rajendar Shingane un ke muqaabla par hain, yahan 15 laakh 96 hazaar 234 raye dahindgaan mein mard 8, 45, ga aur khawateen 7, 50, 687 raye dahindagan hain. Akola se BBM ke umeedwar Prakash Ambedkar qismat aazma rahay hain jo kay aeen ke baani B.R Ambedkar ke potay hain aur do martabah 1998 aur 1999 mein kamyabi haasil ki thi. sah rukhi muqaabla mein congress ke taaqatwar umeedwar Hidayat ullah B patel hain jabkay BJP  dhatoray bhi election ladhrhe hain, kul 16,46,463 voters mein se 8,69,922 mard raye dahindgaan aur 7,76,  khawateen voters hain jabkay un mein se bees feesad schedule cast voters hain .- YTN STAFF