Wednesday, May 8, 2024
HomeIndiaMaharashtra hukoomat ki kabeena mein towsee se Cangrisi arkaan Assembly na khush

Maharashtra hukoomat ki kabeena mein towsee se Cangrisi arkaan Assembly na khush

New Delhi: Maharashtra mein hukoomat bananay ke baad Uddhav Thackeray ne peer ke roz pehli baar apni kabeena mein towsee ki. Is towsee mein, Jahan NCP rehnuma Ajit Pawar ko riyasat ka naib wazeer aala banaya gaya, Wahein Shive Sena ke Adtiya Thackeray ko bhi wizarat mein shaamil kiya gaya. Kabeena ki towsee ke baad wazeer aala Uddhav Thackeray ne riyasat ki taraqqi ke liye mil kar kaam karne ki baat kahi.

Lekin kabeena ki towsee se chand ghantay pehlay hi congress ke arkaan Assembly mein adam itminan zahir hona shuru hogaya. Zaraye se mossola it-tila-aat ke mutabiq, Congress ke bohat se arkaan Assembly kabeena ki is towsee se khush nahi hain. Unka maanna hai ke kabeena mein towsee ke muamlay par congress high kamaan ko gumraah kiya gaya hai.

It-tila-aat ke mutabiq, Naraaz Congrisi arkaan Assembly ne party ke Senior rehnuma Mallikarjun Kharge se is talluq se mulaqaat ki hai aur aur apni baat rakhi hai. Arkaan Assembly ne Kharge se mulaqaat ke douran wafa daar arkaan Assembly ko poori terhan nazar andaaz karne kaam ilzaam aed kiya hai. Ittila ke mutabiq, Un mushtael-o-naraaz arkaan Assembly mein sabiq wazeer aala Prithviraj Chauhan bhi shaamil hain.

Maharashtra Assembly intikhabaat mein BJP ko 105, Shive Sena ko 56, NCP ko 54 aur Congress ko 44 nashistain haasil hui theen. BJP aur Shive Sena ne milkar hukumat tashkeel dainay ke liye darkaar 145 number ko uboor kiya tha, Lekin Shive Sena ne fifity fifity farmole ki tajweez rakhi, Jis ke mutabiq dhai dhai saal hukoomat chalanay ki ka ek model tha, Lekin BJP ne is farmole ko qubool nahi kiya.

Shive Sena ka kehna hai ke BJP ke sath moahida isi farmole par huva tha, Lekin BJP ka daawa hai ke aisa koi moahida nahi huva tha. Is se ikhtilafat itnay badhay ke dono fareeqoun ki 30 saal purani dosti toot gayi. Is ke baad, Shive Sena ne baday dramayi waqeat ke baad NCP aur congress ke sath mil kar hukoomat banai. aur peer ke roz apni kabeena mein towsee kardi, Jis mein apne ittihadi jamaatoun sameit apni party ke arkaan Assembly ko wizarat mein shaamil kiya. Jis ke baad Congrisi arkaan Assembly ki narazgi ki it-tila-aat samnay aayi hain. –YTN STAFF