New Dehli: Maharashra mein hukoomat saazi ke baray mein, Supreme Court ne fariqain ke msabqti davaon par ghhor karne ke bad fesla sunaate hue kaha ke charshumba ke roz Maharashtra Assembly mein shaam 5 bajey se pehlay Floor Test karwaye jayen. Justice NV Ramana , Sanjiv Khanna aur Ashok Bhushan par mushtamil aala adalat ke bench ki raye thi ke, chunkay arkaan Assembly ne halaf nahi liya hai, Lehaza jald az jald 27 November ko Floor Test karaya jana chahiye.
Adalat ne kaha Floor Test khufia raye shumari ke zareya nahi kiya jaye ga, balkay karwai barah-e-raast Telicost ki jayegi. adalat ne kaha ke 27 November ke roz arkaan Assembly ko sham 5 bajey se pehlay halaf dilaya jaye, aur phir Floor Test karaya jaye.
Is se qabal Maharashra mein paye jany walay siyasi daramay ke baray mein itwaar ke roz samaat ke douran, Supreme court ne Solicitor General se kaha tha ke wo hukoomat ki tashkeel ke daaway mein Fadnavis ke zareya, Himayat ka khat jari karne ko kaha tha. Ye hukum peer ki subah sadhay 10 bajey Manzoor kiya gaya tha.
Supreme Court ne Protem Speaker ki taqarruri ka bhi hukum diya hai. zaraye ke mutabiq, Bhartia Janata Party Protem Speaker ke liye 3 arkaan Assembly ke naamon par ghour kar rahi hai, Un mein Radha Krishna Vikhe Patel, Kalidas Kolambkar ku aur Baban Rao Pachupute ke naam shaamil hain. Governor ke faislay par adalti jaiza liya ja sakta hai ya nahi, is par adalat ne tamam fareeqoun se 8 haftoun mein tehreeri dalail dainay ko kaha hai.
Congress Party ki uburi sadar Sonia Gandhi ne Maharashra se mutaliq Supreme Court ke faislay ka kher muqaddam kiya hai aur Media numaendou se baat karte hue unhoun ne daawa kiya ke ”ham floor test jiiten ge“.
Wahein, NCP ke sarbarah Sharad Pawar ne Twit karte hue kaha ke mai jamhoori eqdaar aur aaeni usoolon ko bar qarar rakhnay par Supreme Court ka shukar guzaar hon. khushi ki baat hai ke Maharashra ke baray mein faisla ”yom aayeen mauqa par aaya hai, jo Bharat Ratan Baba Sahib Ambidkar ko kharaaj pesh karta hai“.
Shive Sena ke rehnuma Sanjay Raut ne Hindi mein 2 twit kiye hain. Pehlay twit mein unhon ne sirf satmaye jahet likha, aur dosray twit mein likha ke sach pareshan ho sakta hai, nakaam nahi ho skta“
Wazeh ho ke Maharashtra mein Davindra Fadnavis ko wazeer-e-aala ka halaf dilanay ke Governor Bhagat Singh Koshyari ke faislay ke khilaaf Congress. NCP aur Shive Sena ne Supreme Court mein darkhwast daakhil ki thi. Kyun kay Governor Koshyari ne hafta ki subah BJP ke rehnuma Davindra Fadnavis ko wazeer-e-Aala aur NCP ke rehnuma Ajith Pawar ko naib wazeer-e-Aala ke tor par halaf dilaya tha. peer ko Supreme Court ne tamam fariqain ke dalail suneney ke baad aaj mangal ke liye faisla mehfooz kar liya tha. –YTN STAFF