Wednesday, May 8, 2024
HomeIndiaMaghribi Bengal hukoomat ne Assembly mein CAA ke khilaaf qarardad manzoor ki

Maghribi Bengal hukoomat ne Assembly mein CAA ke khilaaf qarardad manzoor ki

Kolkata: Maghribi Bengal hukoomat ne peer ke roz mutanazia shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) ko khatam karne ka mutalba karte hue Assembly mein ek qarardad manzoor ki. Aur CAA ke khilaaf qarardad manzoor karne wali chauthi riyasat ban gayi. Is se qabal Kerala, Punjab aur Rajasthan reyastoun ne CAA ke khelaaf qarardad manzoor ki hai.

Reyasti parliamani umoor ke wazeer Partha Chatterjee ne khusoosi ijlaas mein pesh ki jaany wali is qarardad ko congress aur baen bazu mehas ke membroun ki himayat haasil ki thi, Jabkay BJP ne is ki mukhalifat ki. Taham, baen baazu mahaaz aur congress mimbraan ne reyasti hukoomat ko is mah ke shuru mein mutanazia shehriat tarmeemi Act ke khilaaf qarardad muntaqil karne ki ijazat nah daine par barhami ka izhaar kiya tha.

Wazeer aala Mamata Banerjee ne siyasi ikhtilafat ko nazar andaaz karte hue, Opposition jamaatoun, Congress aur SPIM se markaz ki BJP hukoomat ke khilaaf milkar ladne ka mutalba kiya.

Mamata Banerjee ne Assembly mein is qarardad par kaha ke NPR. NRC aur CAA, Ek dosray se munsalik hain aur shehriat tarmeemi qanoon, Awam mukhalif qanoon hai. Unhoun ne mutalba kiya ke fori tor par ye qanoon wapas liya jaye. Mamata Banerjee ne kaha ”CAA awam dushman aur ayeen ke khilaaf hai. Ye Hindu Muslim masah nahi hai, Ye insaaniyat ki baat hai. Aur ye qanoon insaaniyat ke liye baais sharam hai. Hum chahtay hain ke fori tor par usay wapas liya jaye.

Unhoun ne kaha, Congress aur baen basu mahaaz ko un ki hukoomat ke khilaaf afwaen phelana tark kar na chahiye. Unhoun ne kaha ”Ab waqt aagaya hai ke hum apne ikhtilafat ko bhala kar mulk ko bachane ke liye milkar laden. Trinamool Congress ki sarbarah ne kaha ke hamari hukoomat mein ”Delhi mein NPR ke ijlaas mein shirkat nah karne ki himmat hai“.

Ewaan mein quied opposition o congress ke rehnuma Abdul Mannan aur CPIM ki baen baazu mahaaz, Qanoon saaz party ke rehnuma Sujon Chakraborty mojood thay. BJP ke rukan Assembly Swadhin Sarkar ne is qarardad ki mukhalifat ki. 20 January ko, Wazeer aala Mamata Banerjee ne elaan kiya tha ke shehriat tarmeemi Act ke khilaaf qarardad reyasti Assembly mein manzoor ki jaye gi. –YTN STAFF