Wednesday, May 1, 2024
HomeIndiaMaghribi Bengal Assembly mein 27 January ko CAA ke khilaaf qarardad manzoor...

Maghribi Bengal Assembly mein 27 January ko CAA ke khilaaf qarardad manzoor ki jaye gi

Kalkata: Maghribi Bengal ki Mamata Banerjee hukoomat ne mangal ke roz elaan kiya hai ke 27 January ko reyasti Assembly mein shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) ke khilaaf qarar daad laya jayega.

Reyasti parliamani umoor ke wazeer Partha Chatterjee  ne media se guftagu karte hue kaha ”Ye qarar daad 27 January ko subah 11 bajey layi jaye gi“.Partha Chatterjee  ne baen baazu mahaaz aur congress ke qanoon sazoon se qarardad ki himayat karne ki appeal ki.

Wazeer ne kaha ke wo opposition jamaat ke rehnuma Abdul Mannan se pehlay hi baat kar chuke hain aur is muamlay par baen baaz o mahazab ke qanoon saaz party ke rehnuma  Sujon Chakraborty. se bhi tabadlah khayaal karen ge.

Wazeer aala Mamata Banerjee ne ek din pehlay hi kaha tha ke un ki hukoomat shehriat tarmeeni Act ke khilaaf 3 se 4 din mein ek qarardad manzoor kere gi. Banerjee ne kaha, Un ki party Trinamool Congress riyasat mein maz korh qanoon ke khilaaf, Wasee pemanay par muzahiroun mein sab se agay rahi hai, Jis ne pichlle mah qanoon ki manzoori ke baad tashadud aur toad phood ka bhi saamna kiya tha.

Baen baazu mahaaz aur congress, Jo act ke khilaaf sadkoun par nikal aeye hain, CAA ke khilaaf koi qarardad laane par pichlle dinoun mutadid baar Trinamool ka mazaq udaya hai.

Congress aur baen baazu ne pehlay mahinay mein hi Assembly mein aisi tajweez laane ki koshish ki thi, Lekin Trinamool is par raazi nahi hui. Taham mangal ke roz, Chatterjee  ne daawa kiya ke unhoun ne baen baazu aur congress ke samnay ye tajweez pesh ki thi.

Kerala mein CPI ( M ) ki zair qayadat baen jamhoori mahaaz ( LDF ) ki hukoomat aur congress ke zair iqtidaar Punjab hukoomat ne mutanazia qanoon CAA ko khatam karne ka mutalba karte hue pehlay hi qarar daad manzoor ki hain. –YTN STAFF