Monday, May 20, 2024
HomeIndiaMaghribi Bangal mein Mob-Lynching ke khilaaf Bill manzur huwa

Maghribi Bangal mein Mob-Lynching ke khilaaf Bill manzur huwa

Kolkata: Hujumee tashadud (Mob-Lynching) ki rokk thaam ke liye, Maghribi Bangal Assembly ney jummay ke roz aik qanoon saazi ki manzoori daydi hai, jis mein khatiyon ke liye sazae mout ko shaamil kiya gaya hai. Maghribi Bangal (Prevention of Lynching Bill) 2019 ko Oppostion Congress aur baen bazu ke maahaz ki himayat haasil thi. Lekin BJP arkaan ney is khadshay ka izhaar karte huwe vote dalne se inkaar kiya ke is qanoon ko siyasi mukhalefeen ke khilaaf istemaal kiya ja sakta hai.

Mazkoorah bill ke mutabiq, woh log jo mutasirah shakhs par hamla karne ya un ko nuqsaan pohanchanay mein mulawis hon ge, inhen 3 saal se leker Umar qaid tak ki jail ki saza ka saamna karna pad sakta hai. Aur agar mutasirah shaks ki mout ho jati hai to, mujrimon ko sakht se sakht sazae mout ka saamna karna pade ga.

Is mauqa par wazeer e aala Maghribi Bangal Mamata Banerjee ney khitaab karte huwe kaha ke Mob-Lynching aik mouashirati  buraiee hai, aur hum sab ko mil kar is buraie ke khilaaf ladna chahiye. Unhon ney markazi hukoomat ke talluq se kaha ke Markazi hukoomat ko is Mob Lynching ke khilaaf koyi qanoon banana chahiye tha. Magar kuch nahi kiya gaya.

Mamata Banerjee ney kaha ke ”hum riyasat mein is masharti buraee ke khilaaf ladnay ke liye qanoon laa rahay hain. Hamein Lynching ke waqeat ke khilaaf shaoor baydaari peda karne ki zaroorat hai.