Friday, May 3, 2024
HomeOthersBusinessMaeeshat ko mustehkam karne company tax ki sharah mein takhfeef

Maeeshat ko mustehkam karne company tax ki sharah mein takhfeef

New Delhi :  Mulk muashi bohraan ko behtar karne aur maeeshat ki raftaar badhaane ki koshisho ke tehat hukoomat ney jummay ko kayi badey ealanat kiye. gharelo companiyon aur nai gharelo Manufacturing companiyon ke liye company tax mein badi takhfeef ka elaan kiya hai. gharelo companiyon ke liye company ki sharah baghair riayat ke 22 feesad ki gayi hai.

Goods and service tax ( GST ) council ki jummay ko honay walay ijlaas se pehlay markazi wazeer-e-khazana Nirmila sitaraman ney media conference mein yeh elaan kiya. un elanat ke baad baazaaron mein diwali se pehlay ronaqe aagai hai aur Bombay share bazaar ka sensex aur nationals stock exchange nifty mein uchaal aaya.

Maeeshat ki raftaar aur sarmaya kaari mein izafah karne ke liye tax qanoon mein rawan maali saal se tabdeeli layi jayegi. gharelo companian agar kisi qisam ki riayat nahi lete hain to un ko 22 feesad tax dena hoga. Sales aur charges mila kar 21.17 feesad hojayegi. pehlay yeh sharah 30 feesad thi.

Sitaraman ney kaha ke hukoomat ke is faislay se ek laakh 45 hazar crore rupay ke mehsool ka boojh padega. sitaraman ney kaha ke make in India mein taizi laane ke liye mehakma income tax mein ek naya iltazam kiya gaya hai. rawan maali saal mein 1st  october ke baad se wujood mein aayi gharelo company jo Manufacturing mein sarmaya kaari karegi usay sirf 15 feesad ki sharah se tax ka ikhtiyar hoga. iska matlab yeh hua hai ke 1st october ya is ke baad Mulk mein bani kisi bhi company par 15 feesad hi tax lega. agar yeh company 31 March 2023 se pehlay paedawar shuru kardeti hai to 15 feesad tax lageyga aur sabhi qisam ke sales aur charges sameit tax 17.10 feesad hoga.

Wazeer-e-khazana ke is elaan ke baad share bazaar mein uchaal aagaya. BSE aur sensex mein dopehar 12 bajey taqreeban 1900 pointe aur NSE ke nifty mein taqreeban 540 Pointe ka uchaal aaya. inho ne companiyon ke liye ek aur bada elaan karte hue kaha ke 5 July 2019 se pehlay share bazaar ki dobarah kharidne ke elaan karne wali companiyon par super reach tax nahi lagey ga. –YTN STAFF