Tuesday, April 16, 2024
HomeOthersBusinessMadina Munawwara se 140 hazaar ton khajooren baraamad

Madina Munawwara se 140 hazaar ton khajooren baraamad

Madina Munawwara. Madina Munawwara ki khajooren duniya e islam ke gooshay gooshay mein pasand ki jati hain. 60 Mumalik Madina Munawwara se khajooren daraamad kar rahay hain. Urdu news ke mutabiq un mein United Arab Emirates sar e fehrist hai. Turkey dosray aur Kuwait Teesray number par hai. Madina Munawwara ke kashtkaar jariya saal Emirates, Turkey aur Kuwait ko 91 hazaar ton se ziyada khajooren baraamad karen ge. Muzkoorah Mumalik ney 2017 mein 700 Million Riyal se ziyada ki 140 hazaar ton se ziyada khajooren daraamad ki theen. Madina Munawwara bayin ul aqwami khajoor Mela se waaqif kaaron ney tawaqqu zahir ki hai ke Mumlikat mein iss saal Madina Munawwara se iss ki paidawar ka 35% baraamad kere ga. Madina Munawwara mein 2018 ke dauraan 260 hazaar ton khajooren paida huwi hain. Aik tajir Sulton Sulehim ney bataya ke duniya ke kisi bhi Shaher ke muqabaley mein sab se ziyada Madina ke khajoor pasand ki jati hai. Madina mein khajoor ke darakht 30 lakh se ziyada hain. Duniya bhar ke Musalman Madina khajoron ko mubarak samajte hain. Saudi Export Board ney report di hai ke 2016 ke muqaable mein 2017 mein khajooren 20%  ziyada baraamad ki gayeen. Saudi Agricultural Development  Fund khajoor ke mansoobon par 800 Million Riyal se ziyada ka sarmaya lagaye huwe hai.