Saturday, May 18, 2024
HomeTrending NewsMadina Munawwara mein taaza mausam ke khajoor tavajja ke markaz

Madina Munawwara mein taaza mausam ke khajoor tavajja ke markaz

Madina: Saudi Arab ke muqaddas shehar Madina Munawwara ki Markets aur Mandiyoun main naye mausam ki taaza khajoroun ki pehli khaip pahonch gayi hai. Saudi khabar-rasan idaray ke mutabiq mulk bhar mein khajoroun ke mausam ki taaza pedawar ka aghaz Madina Munawwara se hogaya hai Al-Rabeaa,  Safawi, Ruthana, Masaad aur deegar qisam ki khajooren market mein waafar miqdaar mein nazar anay lagey  hai. Doosri taraf nakhlistanoun ke malikaan taaza khajooren dhara dhar market mein bhaij rahay hain.

Madina Munawwara se milnay wali it-tila-aat ke mutabiq taaza khajorin mehngay damoun farokht ho rahay hain. Baagaat ke malikaan ne kaha hai ke khajorin ziyada din mehngi nahi rahay ke kyunke jaise jaisay garmi ka mausam shiddat pakde ga waisay waisay khajorin taizi se paknay lagen gi aur jab pakki khajoroun ki rasad badhay gi to narkh kam ho jaien ge.

Khajoroun ki markitoun ke taajiroun ne kaha hai ke taaza khajooren Al-Ratab kehlati hain ziyada din tak nahi chalte. Jald hi khajooren paknay lagen gi phir Ajwa Anbara, Majhool, Safawi, Khajooren market mein nazar anay lagen gi.