Saturday, May 18, 2024
HomeSliderMadina Munawwara mein corona ke 90 feesad mareez sahet yab

Madina Munawwara mein corona ke 90 feesad mareez sahet yab

Madina: Saudi Arab ke shehar Madina Munawwara mein novel coronavirus se sahet yad hune waloun ki sharah 90 feesad tak pahonch gayi hai. Jis ke baad medical amlah aur intizamia ne raahat ki saans li hai. Waba ki shuruvaat se yakam June tak Madina Munawwara mein Novel Coronavirus ke 9611 mareez Record par aaye. Mumlikat bhar mein coronavirus ke musadeqa mamlaat ke hawalay se ye tadaad kam rahi hai.

Wizarat sahet ki taraf se jari kardah adad o shumaar ke mutabiq corona bohraan ki ibtida se ab tak Madina Munawwara mein mohlik virus se sahet yab honay waloun ki kul tadaad 8567 record ki gayi jo 89.14 feesad banti hai. Madina Munawwara mein corona se 9611 afraad mutasir huve. Fi al-waqt Madina mein corona ke musadeqa mamlaat ki tadaad 994 hai. Ye tadaad ka 10.34 feesad hai. Virus se marnay waloun ki tadad 50 hai jo 0.05 feesad hai.

Wizarat sahet ke jari kardah adaad-o-shumar ke mutabiq Saudi Arab mein guzashta 24 ghantoun ke douran corona ke 1881 naye mamlaat Report huve. 22 amwaat huven aur 1864 sahet yab huve. Virus se sahet panay waloun ki majmoi tadaad 64306 hogayi. –YTN STAFF