Thursday, April 25, 2024
HomeSliderMadina munawwara ko sehat mand shehar ki sanad

Madina munawwara ko sehat mand shehar ki sanad

Madina Munawwara: Is waqt saari duniya corona bohraan ki wajah se kaafi pareshan hai jabkay coivd teeka andazi ki muhim har mulk mein jari hai, doosri janib Madina Munawwara ko aalmi idaara sehat ki janib se sehat mand shehar ki sanad di gayi.

Tafseelaat ke mutabiq aalmi idaara sehat (WHO) ne muqadas shehar madina ko sehat mand shehar ki sanad jari kiya hai. Wazeer-e-sehat Dr Tofeq ne ye sanad governor Madina  shehzada Faisal bin Salman ko paish ki hai.

Aalmi idaara sehat ki janib se Madina Munawwara ko sehat mand shehar qarar dainay ka faisla mutadid umoor ki wajah se kiya gaya hai. Aalmi idaara sehat ne sehat mand shehar ke liye ko aalmi miyaar muqarrar kiye thay shehr-e-Madina ne un tamam sharait ki ba aasani takmeel ki hai. Shehar-e-Madina ki abadi 20 laakh se ziyada nafoos par mushtamil hai jisay aalmi idaara sehat ne yeh sanad jari ki hai.

Madina  ne tayyiba university ke sath a strategic muahiday ke zariye mutadid sehat ke programme banaye aur kamyabi se inhen mukammal tor par aalmi qawaneen ke mutabiq kiye. Madina  shehar ne sehat mand shehron ka programme muta-arif karwaya. Is ki khaas baat yeh rahi ke yeh ke shehar mein makhsoos falahi anjamnin qaim ki gayeen.

Sarkari idaron ki shiraakat se khusoosi sehat programme par amal kya gaya. Jis mein E-sadqa project qabil-e-zikar hai. Yeh apni noiyat ka pehla mansoobah hai jo kay falahi anjumanon ki madad se sehat ke programme chalaye gaye. Is zimn mein izhaar-e-khayaal karte hue aalmi idaara sehat ke matehat programme car Ahmed Hamad ne kaha ye badi kamyabi hai aur hum usay Saudi vision 2030 ka behtareen phal samajte hain. Aalmi tanzeem ne sifarish paish ki hai ke Madina  muqami aur bain ul aqwami tarbiati markaz hoga.