Saturday, May 18, 2024
HomeTrending NewsMadina mein bairooni mumalik ke mulazimeen ke liye rahaish ka intezam

Madina mein bairooni mumalik ke mulazimeen ke liye rahaish ka intezam

Medina: Medina Munawwara Governorate ne kaha hai ke tamam bairooni mumalik se talluq rakhnay walay   mulazmeen ke liye munasib rahaish ka bandobast kardiya gaya. Wazeh rahay ke governor shehzada Faisal Bin Salman ne hukum deya ke Madina Munawwara mein bairooni mumalik se talluq rakhnay walay mulazmeen ki rahaish ke masail hal kiye jayen. Workers campus mein hadd se ziyada bheed khatam ki jaye. Mukhtalif maqamat par karkunaan ke liye munasib aur mozoon rahaish ka bandobast kiya jaye.

 Madina Governorate ne Workers ku munasib rahaish faraham karne ke liye makhsoos committee qaim ki thi jisay ye muhim tafweez ki gayi thi ke wo Ramadan khatam honay se pehlay mulazimeen ki rahaish ka masla hungami bunyadoun par hal karaye. Mulazmeen ki rahaish ke liye qaim committee ke membraan ne Masjid Nabawi ﷺ ke atraaf mein waqay hotels mein bairooni mumalik se talluq rakhnay walay mulazmeen ko earzi rahaish faraham ki. Isi douran shehar mein mukhtalif maqamat par aisi rehaishi imaartoun ka bandobast kiya gaya jahan hifzaan sahet ke zawabit ki pabandi horahee thi aur Novel coronavirus ko phelnay se roknay ke liye muqarrar samaji faaslay ki pabandi bhi horahee thi..

Madina Munawwara Governorate ne coronavirus se mutaser mulazmeen ke ilaaj ka bhi bandobast karwaya jabkay tamam karkunaan ki sahet nighdasht ka bhi bandobast kiya gaya. Mulazmeen ko munasib rahaish faraham karanay mein wizarat baldiyat o dehi omuur ne bhi hissa liya. Wazarat bhi mutadid Committee qaim kiye huve hai jo mulazimeen Camps mein had se ziyada thehraye gaye karkunaan ko munasib jagah muntaqil kara rahi hain. –YTN STAFF.