Monday, April 21, 2025
HomeSliderMadina mein awaami Parks kholnay ki tayariyaan

Madina mein awaami Parks kholnay ki tayariyaan

Madina Munawwara: Madina Munawwara ke awaami Parks is hafta ke aakhir khol diye jayen ge. Madina Municipality ne coronavirus se bachao aur hifazati iqdamaat ke tehat tamam intizamaa mukammal kar liye hain. Tafseelaat ke mutabiq Madina Municipality ki janib se jari bayan mein kaha gaya hai ke tamam awaami Parks mein safai, Sanitizing aur maholiyati sahet ke kaam mukammal karliye gaye. Jhoolon ko Sanitizing kardiya gaya. Bijli ke khambon, Footpath, Nashiston, Car Parking ki islaah-o-murammat kar di gayi.

Madina Municipality ney tawajah dilaye hai ke Washrooms aur jhoolon par samaji faaslay ke liye nishanat laga diye gaye. Park mein bethnay walon ke liye jaghen makhsoos kar di gayi hain jabkay nigrani ke liye amlay ki tadaad mein bhi izafah kardiya gaya hai. Medina Municipality ney Appeal ki hai ke loog sahet-o-salamti ki khatir samaji faaslay ki pabandi karen aur hifazati iqdamaat ka khayaal rakhen. Kisi bhi nuqs ya kami dekhnay ki soorat mein Emergency Center 940 ya baldi 940 Apps ke zariye rabita karen.

Wazeh rahay coronavirus se bachao ke liye March 2020 ke awail mein Harmain mein bhi Namaz ba-jamaat par pabandi ayed ki gayi thi jabkay deegar Masajid mein bhi ahteyati tadabeer ikhtiyar karte hue Namaz ba-jamaat band thi. Coronavirus ki wajah se ahteyati tadabeer ikhtiyar karte hue mumlikat ke tamam shehron mai Curfew aur lockdown ka silsila Eid Ul Fitr tak jari raha. Baad aaza Curfew mein marhala waar narmi ki gayi aur Masajid mein ahteyati tadabeer ikhtiyar karte hue khola gaya taham is douran namazion ke darmiyan faaslay ke usool par amal daraamad jari hai. Intizamia nay kaha hai ibtidayi marhaly mein 7 hazaar safen sehno aur tosiay maqamat par bichai jayen gi.