Monday, May 13, 2024
HomeSliderMadina ko khoobsurat shehar banane ke liye waadi Qaanah mansoobay ko...

Madina ko khoobsurat shehar banane ke liye waadi Qaanah mansoobay ko jald mukammal karne ka elaan

Madina: Governor Madina Munawwara shehzada Faisal bin Salman ne waadi Qaanah mansoobay ka dora karkay usay jald az jald mukammal karne ki Hidayat ki hai. unhon ne kaha ke waadi Qaanah mansoobay se Madina Munawwara mein qudrati aur tamirati mahol mein tawazun paeda hoga.

Saudi khabar-rasan idaray ke mutabiq madinah Munawwara Muncipality waadi Qaanah mansoobah 16 kilometer ke dairay mein nafiz kara rahi hai. governor madinah Munawwara ne kaha hai ke yeh kaseer al maqasid mansoobah hai. iski badolat barish aur saelaab ka pani waadi ke zariye istemaal kiya jayega. waadi ke atraaf jungle ko park mein tabdeel kiya jayega.

Saudi khabar-rasan idaray ke mutabiq madinah Munawwara Muncipality waadi Qaanah mansoobah 16 kilometer ke dairay mein nafiz kara rahi hai. governor madinah Munawwara ne kaha hai ke yeh kaseer al maqasid mansoobah hai. iski badolat barish aur selaab ka pani waadi ke zariye istemaal kiya jayega. waadi ke atraaf Jungle ko park mein tabdeel kiya jayega.

Mansoobay ka pehla marhala daidh baras mein mukammal hoga. iske tehat 70 hazaar murabba meter ke raqbay par park bane jayega jo waadi ke kinare waqay hoga. yahan tafreeh ke liye aane  walon ke liye benches lagai jayengi. chehal qadmi karne walon ke liye rahdaryan hongi jabkay motorcycle sawaron ke liye baqaida track hoga.

Waadi ( darya ) ko mazeed gehra aur kushadah kiya jayega taakay barish ka zyadh se ziyada pani is mein khapaya jasakay. waadi mein jagah jagah qudrati manazair ke numainda marakaz qaim kiye jayenge taakay Madina Munawwara ke shehri aur zaireen wahan Khushgawar aur saaf suthree hua ka lutaf atha sakein.   –YTN STAFF