Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaMadhya Pradesh mein Dalit jode par sifakana hamla ghanaoni aur ghair insani:...

Madhya Pradesh mein Dalit jode par sifakana hamla ghanaoni aur ghair insani: SDPI

New Delhi: Social Democratic Party of India ( SDPI ) ke qaumi sadar MK Faizy ney Madhya Pradesh ke Guna zila Jaganpur  chak mein Dalit jooday par police ki taraf se kiye gaye wehshiana hamlay ko ek khenaona aur ghair insani iqdaam qarar dete hue police ka taaqat ke ghalat istemaal ki sakht muzammat ki hai. Wazeh rahay ke guzashta dinon Jaganpur mein ek Dalit jooday ney is waqt keeday maar dawa pi liya jab revenue hukkaam aur police ney Bulldozer ka istemaal karte hue un ki khadi fasal ko tabah kardiya tha.

Police ney Dalit jode ki be dardi se pataayi bhi ki aur police nay is is Dalit jode ko bachanay ke liye aaye un ke rishta daar par bhi be dardi se hamla kiya. Jab Dalit jode ke bachoun nay apne walidain ko bachanay ki koshish ki to rotay hue bachoun ko zabani tor par zayad-ti ka nishana banaya gaya aur police nay inhen dhakil diya tha.

Revenue hukkaam ek sarkary zameen se qabza hataane ke liye wahan puhanche they. Jisay model science college ki taamer ke liye mukhtas kiya gaya tha aur is zameen mein mazkoorah Dalit kunba taweel arsa se kashtkaary kar raha tha. Police ko kunba ne kaha tha ke jab tak khadi fasal kaasht nahi ki jati inhen yahan se hataya nah jaye lekin police ne un ki baat nahi maani aur inhen maarna peetna shuru kardiya. Zilai police ne police ehalkaroun ke khilaaf karwai karne ke bajaye joday sameit 7 afraad ke khilaaf IPC 353,141,309 ke tehat muqadma darj kiya hai.

Darin asna SDPI qaumi sadar MK Faizy nay is muamlay mein wazeer alla Madhya Pradesh ki fori mudakhilat aur zilai collector aur Superintend of police ke khilaaf karwai ki tareef ki aur umeed zahir ki ke tadeebi karwai koi chaal nahi hogi. MK Faizy nay is baat ki taraf khusoosi nishandahi karte huve kaha hai ke intahi dayen baazu ke fashestoun ki hukmarani mein Hindustan ek aisi sarzamen ki hesiyat ikhtiyar kar chuka hai jahan Dalitoun, Kamzor tabqaat aur aqlitoun ko kisi bhi mara-aat se inkaar kiya ja raha hai. Unhoun nay hukkaam se mutalba kiya hai ke wo mutasireen ko insaaf ki farahmi ko yakeeni banayen aur ghanaoni harkat mein mulawis police ehalkaroun ko misali sazadi jaye.