Sunday, April 20, 2025
HomeLatest NewsMadhya pradesh mein 1 shakhs 45 saal se kha raha hai kanch

Madhya pradesh mein 1 shakhs 45 saal se kha raha hai kanch

Madhya pradesh : Is duniya mein crores log hain, jin mein se har ek ko koi na koi ajeeb wo ghareeb aadat wo shouq hotay hain, jo dekhnay waloun ko haerat mein daal dete hain. aap ne bhi aisay logoun ko dekha hoga, ya suna hoga. yeh bhi suna hoga ke kayi logoun ko kedey khanay ka shouq hota hai, kisi ko saanp ya bichhoo khanay ya inka zeher peenay ka shouq hota hai, kisi ko hathoun se pathar todnay ka shouq hota hai, kisi ko daantoun se truck ko khenchnay ka shouq hota hai. magar Madhya pradesh pradesh ke Dongri ilaqa mein 1 shakhs ko ek ajeeb wo haerat mein daalnay wali wo ghair yakheeni aadat hai. jis ke baray mein jaan kar aap ko bhi taajjub hoga ke 1 shakhs ko kanch khanay ki aadat hai. Aur wo shakhs 40-45 saal se ka nuch kha raha hai.

Tafseelaat ke mutabiq, kanch khanay walay is shakhs ka naam Dayaram sahu hai, jo peshe se ek wakeel hai. Dayaram ke mutabiq woh 40-45 saloun se kanch kha raha hai, aur yeh is ke liye lat ban chuki hai. Is aadat ki wajah se is ke daantoun ko kaafi nuqsan pohancha hai. jiski wajah se woh ab kanch khana aahista aahista kam kar raha hai. Dayaram Madhya pradesh pradesh ke Dongri zila ke Shah poora ka rehne wala hai.

Dayaram ko bachpan se hi kanch khanay ka shouq hai, pehlay woh shouqia tor par kanch khata tha. phir aahista aahista is ki lat lag gayi aur aadat ban gayi. Dayaram ke kanch khanay ka ek video bhi viral ho raha hai. is shakhs ka is tarhan kanch khana haerat ki baat to hai hi, is se badi haerat ki baat yeh hai ke Dayaram ko is ki biwi kanch lakar deti hai.

Dayaram ke mutabiq pehlay woh ek din mein ek kilo tak kanch chaba ja taa tha, lekin daanton ke kamzor honay ki wajah se ab is ne usay kam kar diya hai. badi haeran karne wali baat hai ke 1 shakhs kanch kha raha hai, jo is ke liye khatarnaak bhi hosakta hai.

lekin phir bhi woh shakhs apne aadat ke agay majboor hokar usay kha raha hai. Dayaram ne logon se darkhwast ki hai ke woh kanch khanay ki koshish nah karen, kyunkay yeh sahet ke liye nuqsaan da hai. –YTN STAF